mujhe kaun bulata rahta hai
''mire paañv ke nīche ḳhaak nahīñ
kisī aur zamīñ kī miTTī hai''
mire haath meñ vaqt kī rāseñ haiñ
jo pal pal phislī jaatī haiñ
aur hare daraḳhtoñ kī shāḳheñ
mirā rasta jhāñktī rahtī haiñ
aur sabz ghanerā jañgal hai
mire paañv ke nīche chāñd nahīñ
ik aur hī des kī miTTī hai
aur dhuup kā dariyā mauj meñ hai
aur dasht mire qadmoñ se lipTā jaatā hai
mujhe koī na koī bulātā hai
mire paañv bhī mere paañv nahīñ
mirā jism nahīñ mirī jaan nahīñ
mirī ā.ankhoñ ne ġhaddārī kī
mire haath kisī ne kaaT diye
mirā dil mujhe raah meñ chhoḌ gayā
ab dhuup kā dariyā mauj meñ hai
aur duur koī jañgal meñ hai
mire panw ke niche KHak nahin
kisi aur zamin ki miTTi hai
mere hath mein waqt ki rasen hain
jo pal pal phisli jati hain
aur hare daraKHton ki shaKHen
mera rasta jhankti rahti hain
aur sabz ghanera jangal hai
mere panw ke niche chand nahin
ek aur hi des ki miTTi hai
aur dhup ka dariya mauj mein hai
aur dasht mere qadmon se lipTa jata hai
mujhe koi na koi bulata hai
mere panw bhi mere panw nahin
mera jism nahin meri jaan nahin
meri aaankhon ne ghaddari ki
mere hath kisi ne kaT diye
mera dil mujhe rah mein chhoD gaya
ab dhup ka dariya mauj mein hai
aur dur koi jangal mein hai
- Book : Raah-daari mein gunjti nazm (rekhta website) (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.