mujhe KHamosh rahne do
ye chiḌiyāñ chahchahātī haiñ to un ko chahchahāne do
parindoñ ko daraḳhtoñ par ḳhushī ke giit gaane do
zamīñ par abr kī har buuñd ko naġhme sunāne do
falak par lailī-e-qaus-o-quzah ko muskurāne do
mirā dil sard hai mujh ko yūñhī behosh rahne do
mujhe ḳhāmosh rahne do
fazā-e-dahr labrez-e-masarrat hai to mujh ko kyā
agar duniyā ḳharāb-e-aish-o-ishrat hai to mujh ko kyā
jo ma.amūr-e-sadā sāz-e-mohabbat hai to mujh ko kyā
jahāñ ko mere naġhmoñ kī zarūrat hai to mujh ko kyā
mujhe apne ḳhayāloñ hī se ham āġhosh rahne do
mujhe ḳhāmosh rahne do
mujhe fursat nahīñ hai fart-e-ġham se sar uThāne kī
garāñ hai mere dil par shorish-o-kāvish zamāne kī
abhī kaḌiyāñ murattab ho rahī haiñ ik fasāne kī
abhī saa.at kahāñ hai dāstān-e-dil sunāne kī
kisī kī yaad meñ mujh ko tasavvur-kosh rahne do
mujhe ḳhāmosh rahne do
jo maiñ bolā to sab ko apne ashkoñ meñ bhigo dūñgā
dil-e-insāñ meñ ġham ke saiñkaḌoñ kāñTe chubho dūñgā
jo maiñ bolā to goyā.ī zamāne-bhar kī kho dūñgā
jo maiñ bolā to duniyā ko ḳhamoshī meñ Dubo dūñgā
yahī behtar hai ḳhalvat meñ mujhe ḳhāmosh rahne do
mujhe ḳhāmosh rahne do
ye chiDiyan chahchahati hain to un ko chahchahane do
parindon ko daraKHton par KHushi ke git gane do
zamin par abr ki har bund ko naghme sunane do
falak par laili-e-qaus-o-quzah ko muskurane do
mera dil sard hai mujh ko yunhi behosh rahne do
mujhe KHamosh rahne do
faza-e-dahr labrez-e-masarrat hai to mujh ko kya
agar duniya KHarab-e-aish-o-ishrat hai to mujh ko kya
jo mamur-e-sada saz-e-mohabbat hai to mujh ko kya
jahan ko mere naghmon ki zarurat hai to mujh ko kya
mujhe apne KHayalon hi se hum aaghosh rahne do
mujhe KHamosh rahne do
mujhe fursat nahin hai fart-e-gham se sar uThane ki
garan hai mere dil par shorish-o-kawish zamane ki
abhi kaDiyan murattab ho rahi hain ek fasane ki
abhi saat kahan hai dastan-e-dil sunane ki
kisi ki yaad mein mujh ko tasawwur-kosh rahne do
mujhe KHamosh rahne do
jo main bola to sab ko apne ashkon mein bhigo dunga
dil-e-insan mein gham ke sainkaDon kanTe chubho dunga
jo main bola to goyai zamane-bhar ki kho dunga
jo main bola to duniya ko KHamoshi mein Dubo dunga
yahi behtar hai KHalwat mein mujhe KHamosh rahne do
mujhe KHamosh rahne do
- Subh-e-Mashriq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.