mujhe KHabar hai mujhe yaqin hai
mujhe ḳhabar hai
ye ābnūsī chaTTān jo duub ke sabz taḳhte pe aa girī hai
na.ī subuk narm pattiyoñ kā siñghār pī kar
sunahre lamhoñ kī saañs meñ phāñs ban kar aTak ga.ī hai
mujhe yaqīñ hai
ki mausamoñ ke tilism ye tīrgī uḌā kar
isī sulagtī chaTTān par duub kī sabz zulfeñ bikher deñge
mujhe yaqīñ hai
mire kaTe bāzuoñ kī tāqat mirī ragoñ se nahīñ ga.ī hai
mire lahū ke ye surḳh dhāre na.ī hikāyat ke pesh-rau haiñ
na.ī umañgoñ na.e ujāloñ na.e shafaq-zār ke amiiñ haiñ
mujhe ḳhabar hai
ki ġhol chiḌiyoñ ke lashkar-e-abrha kī ab kuchh ḳhabar na leñge
hamārī āñkhoñ meñ raushnī hai magar diloñ meñ siyāhiyāñ haiñ
udāsiyoñ ke ghane dhuveñ meñ chhupī huī kāmrāniyāñ haiñ
mujhe yaqīñ hai
ki is fazā meñ farāz-e-sahrā-e-be-amāñ haiñ
hazāroñ ma.asūm eḌiyāñ ragaḌ chuke haiñ ragaḌ rahe haiñ
ubal paḌegā zarūr koī hayāt-afroz āb-e-shīrīñ
sadāqatoñ ke bahār-zāroñ ko āḳhirash tāzgī milegī
mujhe ḳhabar hai mujhe yaqīñ hai
mujhe KHabar hai
ye aabnusi chaTTan jo dub ke sabz taKHte pe aa giri hai
nai subuk narm pattiyon ka singhaar pi kar
sunahre lamhon ki sans mein phans ban kar aTak gai hai
mujhe yaqin hai
ki mausamon ke tilism ye tirgi uDa kar
isi sulagti chaTTan par dub ki sabz zulfen bikher denge
mujhe yaqin hai
mere kaTe bazuon ki taqat meri ragon se nahin gai hai
mere lahu ke ye surKH dhaare nai hikayat ke pesh-rau hain
nai umangon nae ujalon nae shafaq-zar ke amin hain
mujhe KHabar hai
ki ghol chiDiyon ke lashkar-e-abrha ki ab kuchh KHabar na lenge
hamari aankhon mein raushni hai magar dilon mein siyahiyan hain
udasiyon ke ghane dhuwen mein chhupi hui kaamraniyan hain
mujhe yaqin hai
ki is faza mein faraaz-e-sahra-e-be-aman hain
hazaron masum eDiyan ragaD chuke hain ragaD rahe hain
ubal paDega zarur koi hayat-afroz aab-e-shirin
sadaqaton ke bahaar-zaron ko aaKHirash tazgi milegi
mujhe KHabar hai mujhe yaqin hai
- Book : doob (Pg. 95)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.