suno jānāñ
mujhe kuchh der sonā hai
aur apnī aañkh kī putlī meñ raqsāñ titliyoñ ke lams ko mahsūs karnā hai
suno jānāñ
maiñ āñkheñ band kartī huuñ
to un maḳhmūr lamhoñ meñ
tumhāre reshmī ehsās kī ik narm sī ḳhushbū
navāh-e-jism-o-jāñ meñ phail jaatī hai
fazā mahmez hotī hai
usī saa.at havā-e-nīm-shab nirmal suroñ meñ gungunātī hai
tumhārī yaad aatī hai
to merī aañkh kī putlī meñ raqsāñ titliyāñ mujh ko satātī haiñ
badan meñ phail jaatī haiñ
suno jānāñ
mujhe kuchh der sone do
visāl-āsār lamhoñ kā pata detī gulābī titliyoñ ke lams ko mahsūs karne do
mujhe kuchh der sonā hai
mujhe kuchh der sone do
suno jaanan
mujhe kuchh der sona hai
aur apni aankh ki putli mein raqsan titliyon ke lams ko mahsus karna hai
suno jaanan
main aankhen band karti hun
to un maKHmur lamhon mein
tumhaare reshmi ehsas ki ek narm si KHushbu
nawah-e-jism-o-jaan mein phail jati hai
faza mahmez hoti hai
usi saat hawa-e-nim-shab nirmal suron mein gungunati hai
tumhaari yaad aati hai
to meri aankh ki putli mein raqsan titliyan mujh ko satati hain
badan mein phail jati hain
suno jaanan
mujhe kuchh der sone do
visal-asar lamhon ka pata deti gulabi titliyon ke lams ko mahsus karne do
mujhe kuchh der sona hai
mujhe kuchh der sone do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.