Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe kya mila

Sumita Misra

mujhe kya mila

Sumita Misra

MORE BYSumita Misra

    maiñ miirā nahīñ

    phir bhī vish pyāla

    maiñ ne piyā

    tumhāre liye

    miirā ko mile kānhā

    aur un liilā

    mujhe kyā milā

    maiñ siitā nahīñ

    phir bhī be-qusūr agnī-parikshā

    meñ maiñ jalī

    tumhāre liye

    siitā ko milā kshanik

    rājpāT aur muktī

    mujhe kyā milā

    maiñ anusuiyā nahīñ

    phir bhī har kasauTī

    maiñ ne uThā.ī

    tumhāre liye

    anusuiyā ko milī ishvarīy

    aur jag-prashansā

    mujhe kyā milā

    maiñ sāvitrī nahīñ

    phir bhī bhāgye se kaal se

    maiñ laḌī tumhāre liye

    sāvitrī ko milā prem

    aur satītv

    mujhe kyā milā

    maiñ pārvatī nahīñ

    phir bhī nishThur tyaag

    meñ maiñ tapī

    tumhāre liye

    pārvatī ko mile shiv

    aur akhanD bhog

    mujhe kyā milā

    nārītv ye kathā.eñ

    haiñ piñjre

    tumhāre diye

    kisī bhī yug meñ

    ādarshoñ mithyā meñ

    samāj ke chakrvyūh meñ

    jīvan jananī

    ko kyā milā

    main mera nahin

    phir bhi wish ka pyala

    main ne piya

    tumhaare liye

    mera ko mile kanha

    aur un ki lila

    mujhe kya mila

    main sita nahin

    phir bhi be-qusur agni-pariksha

    mein main jali

    tumhaare liye

    sita ko mila kshanik

    rajpaT aur mukti

    mujhe kya mila

    main anusuiya nahin

    phir bhi har kasauTi

    main ne uThai

    tumhaare liye

    anusuiya ko mili ishwariy

    aur jag-prashansa

    mujhe kya mila

    main sawitri nahin

    phir bhi bhagye se kal se

    main laDi tumhaare liye

    sawitri ko mila prem

    aur satitw

    mujhe kya mila

    main parwati nahin

    phir bhi nishThur tyag

    mein main tapi

    tumhaare liye

    parwati ko mile shiw

    aur akhanD bhog

    mujhe kya mila

    naritw ki ye kathaen

    hain pinjre

    tumhaare diye

    kisi bhi yug mein

    aadarshon ki mithya mein

    samaj ke chakrwyuh mein

    jiwan janani

    ko kya mila

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now