mujhe malum hai jaanan
mujhe mālūm hai jānāñ
maiñ tumhārī
dūsrī mohabbat huuñ
mujhe mālūm hai jānāñ
dūsrī mohabbat
izāfī hotī hai
dūsrī mohabbat to bas
pahlī mohabbat ke
hijr kī talāfī hotī hai
mujhe ab bhī
is baat par yaqīn hai ki
insān ko to bas
ek hī mohabbat kaafī hotī hai
mujhe bas itnā kahnā hai
mohabbat meñ bevafā.ī kī
kabhī na muāfī hotī hai
lekin
tum yaad rakhnā
tum merī pahlī aur āḳhirī mohabbat ho
mujhe mālūm hai jānāñ
maiñ tumhārī dūsrī mohabbat huuñ
mujhe malum hai jaanan
main tumhaari
dusri mohabbat hun
mujhe malum hai jaanan
dusri mohabbat
izafi hoti hai
dusri mohabbat to bas
pahli mohabbat ke
hijr ki talafi hoti hai
mujhe ab bhi
is baat par yaqin hai ki
insan ko to bas
ek hi mohabbat kafi hoti hai
mujhe bas itna kahna hai
mohabbat mein bewafai ki
kabhi na muafi hoti hai
lekin
tum yaad rakhna
tum meri pahli aur aaKHiri mohabbat ho
mujhe malum hai jaanan
main tumhaari dusri mohabbat hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.