mujhe malum hai
ye
āñsuoñ kī jhiil hai
yahāñ har baras
bahut duur se
parinde uḌ kar aate haiñ
aur ek puurā mausam
baserā karte haiñ
kisī bhī shikārī ko
yahāñ aane kī ijāzat nahīñ hai
mausam ke iḳhtitām par
vāpsī kā safar shurūa hotā hai
maiñ
gintī kartā huuñ
vo itne hī hote haiñ
jitne aa.e the
maiñ us jhiil ko
kabhī ḳhushk hone nahīñ dūñgā
aur har baras
parindoñ ko
ḳhush-āmdīd kahūñgā
aur kabhī un se ye nahīñ pūchhūñgā
vo dūsrā mausam
kis jhiil meñ guzārte haiñ
ye
aansuon ki jhil hai
yahan har baras
bahut dur se
parinde uD kar aate hain
aur ek pura mausam
basera karte hain
kisi bhi shikari ko
yahan aane ki ijazat nahin hai
mausam ke iKHtitam par
wapsi ka safar shurua hota hai
main
ginti karta hun
wo itne hi hote hain
jitne aae the
main us jhil ko
kabhi KHushk hone nahin dunga
aur har baras
parindon ko
KHush-amdid kahunga
aur kabhi un se ye nahin puchhunga
wo dusra mausam
kis jhil mein guzarte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.