mujhe malum tha aaKHir
mujhe ma.alūm thā āḳhir
kisī din merā dil betāb ho kar
tum se iz.hār-e-mohabbat par mujhe majbūr kar degā
aur is par phir tumhārī samt se is tarah kā radd-e-amal hogā
ki jis se merī ġhair ābād āñkhoñ ko
tumhāre avvalīñ dīdār ne jo ḳhūbsūrat ḳhvāb baḳhshā thā
vo chaknā-chūr ho kar ḳhaak meñ mil jā.egā yak-dam
mire ehsās kī murda zamīnoñ meñ
tumhārī muskurāhaT se
khile the phuul jo kaif-o-masarrat ke
vo ik pal meñ bikhar jā.eñge sab ke sab
mire tārīk dil meñ aarzū ke jin charāġhoñ se
zarā sī jagmagāhaT thī
vo ik lamhe meñ bujh jā.eñge sab ke sab
faqat is vajah se jānāñ
maiñ tum se baat karne meñ
hamesha hichkichātā thā
mujhe malum tha aaKHir
kisi din mera dil betab ho kar
tum se izhaar-e-mohabbat par mujhe majbur kar dega
aur is par phir tumhaari samt se is tarah ka radd-e-amal hoga
ki jis se meri ghair aabaad aankhon ko
tumhaare awwalin didar ne jo KHubsurat KHwab baKHsha tha
wo chakna-chur ho kar KHak mein mil jaega yak-dam
mere ehsas ki murda zaminon mein
tumhaari muskurahaT se
khile the phul jo kaif-o-masarrat ke
wo ek pal mein bikhar jaenge sab ke sab
mere tarik dil mein aarzu ke jin charaghon se
zara si jagmagahaT thi
wo ek lamhe mein bujh jaenge sab ke sab
faqat is wajah se jaanan
main tum se baat karne mein
hamesha hichkichata tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.