mujhe mat is tarah dekho
mujhe mat is tarah dekho
ki jaise koī dīmak se aTī lakḌī ko taktā hai
kisī sunsān kamre ke dar-o-dīvār par likkhī huī tanhā.ī
paḌhtā hai
khañDar se tār-e-ankabūt kā rishta samajhne ke liye
ḳhud se ulajhtā hai
mujhe mat is tarah ro.o
achānak maut par jis tarah rote haiñ azīzoñ ko
falak par TūTte tāroñ ko jaise chāñd rotā hai
samundar ḳhālī siipī ke liye jaise taḌaptā hai
vo raste
jo ki katrā kar guzar jaate haiñ manzil se
vo sahrā jin kī vus.at par gulistāñ naaz kartā hai
vo sapne jo ki sharminda na hoñ tā۔bīr ke hāthoñ
unheñ royā nahīñ karte
mujhe mat is tarah dekho
ki jaise koi dimak se aTi lakDi ko takta hai
kisi sunsan kamre ke dar-o-diwar par likkhi hui tanhai
paDhta hai
khanDar se tar-e-ankabut ka rishta samajhne ke liye
KHud se ulajhta hai
mujhe mat is tarah roo
achanak maut par jis tarah rote hain azizon ko
falak par TuTte taron ko jaise chand rota hai
samundar KHali sipi ke liye jaise taDapta hai
wo raste
jo ki katra kar guzar jate hain manzil se
wo sahra jin ki wusat par gulistan naz karta hai
wo sapne jo ki sharminda na hon ta۔bir ke hathon
unhen roya nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.