mujhe mojiz-bayan kar do
mirī atrāf meñ bikhre hue raushan-jabīñ lafzo
mujhe DhūñDo
ajab āshob hai
mere qalam meñ raushnā.ī sūkhtī jaatī hai
aur socheñ na.ī ashkāl meñ Dhalne se qāsir haiñ
jo sochūñ likh nahīñ paatā
jo likkhūñ vo cliche hai
muravvaj isti.āroñ aur tashbīhoñ kī utran se
mirī nazmoñ ke pairāhan nahīñ bante
ta.affun se bhare pairāya-e-iz.hār se
iblāġh kā siina nahīñ khultā
maiñ likhne baiThtā huuñ
to mire hāthoñ kī larzish saath hotī hai
agar kuchh bolnā chāhūñ
to luknat rok letī hai
kisī vijdān kī sūrat
kisī ilhām kī sūrat
dar-e-ib.hām ko kholo
mire afkār kā kashkol
apnī jagmagātī raushnī se is tarah bhar do
ki mere zehn ke āñgan meñ
puure chāñd kī raunaq utar aa.e
jo ab tak mā-varā-e-saut hai
us ko ayaañ kar do
mujhe mojiz-bayāñ kar do
meri atraf mein bikhre hue raushan-jabin lafzo
mujhe DhunDo
ajab aashob hai
mere qalam mein raushnai sukhti jati hai
aur sochen nai ashkal mein Dhalne se qasir hain
jo sochun likh nahin pata
jo likkhun wo cliche hai
murawwaj istiaron aur tashbihon ki utran se
meri nazmon ke pairahan nahin bante
taffun se bhare pairaya-e-izhaar se
iblagh ka sina nahin khulta
main likhne baiThta hun
to mere hathon ki larzish sath hoti hai
agar kuchh bolna chahun
to luknat rok leti hai
kisi wijdan ki surat
kisi ilham ki surat
dar-e-ibham ko kholo
mere afkar ka kashkol
apni jagmagati raushni se is tarah bhar do
ki mere zehn ke aangan mein
pure chand ki raunaq utar aae
jo ab tak ma-wara-e-saut hai
us ko ayan kar do
mujhe mojiz-bayan kar do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.