mujhe rone do
mujhe rone do rone do
usī pīpal ke saa.e meñ
jahāñ ik dard kī tāsīr kā maarā
batātā thā ki rāz-e-dard-o-ġham kyā hai
mudāvā-e-alam kyā hai
mujhe rone do rone do
jahāñ murlī kī dhun sun kar
vo rādhā.eñ
kaḌe jaaḌe ke mausam meñ
kisī kī garmi-e-āġhosh se uTh kar
mohabbat kī damaktī chāndnī meñ jā nikaltī thiiñ
mujhe rone do rone do
ki maiñ ik ajnabī ban kar
tumhāre dar pe aayā huuñ, mirā kashkol ḳhālī hai
tumhāre paas jo dhan thā
mirā dil aaj phir us kā savālī hai
magar tum daan kyā doge
ki tum to ḳhud bhikārī ho
mujhe rone do rone do
mujhe rone do rone do
usi pipal ke sae mein
jahan ek dard ki tasir ka mara
batata tha ki raaz-e-dard-o-gham kya hai
mudawa-e-alam kya hai
mujhe rone do rone do
jahan murli ki dhun sun kar
wo radhaen
kaDe jaDe ke mausam mein
kisi ki garmi-e-aghosh se uTh kar
mohabbat ki damakti chandni mein ja nikalti thin
mujhe rone do rone do
ki main ek ajnabi ban kar
tumhaare dar pe aaya hun, mera kashkol KHali hai
tumhaare pas jo dhan tha
mera dil aaj phir us ka sawali hai
magar tum dan kya doge
ki tum to KHud bhikari ho
mujhe rone do rone do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.