mujhe sharminda rakhte hain
ye har shab soch kar sotā huuñ aane vaalī sub.hoñ meñ
guloñ se pattiyoñ se os kī būñdeñ churānī haiñ
shah ākāsh kī nazreñ-numā kirnoñ se pahle jaag jaanā hai
sabā-e-ambarīñ ke lams ko mahsūs karnā hai
libās-e-sabz meñ malbūs alhaḌ pattiyoñ kī bāteñ sunñī haiñ
hasīñ doshīza kī muskān sī kaliyoñ se do ik baat kar lūñgā
magar kuchh kar nahīñ paatā ki rāhat roke rakhtī hai
koī afsāna paḌhnā ho kisī kī shā.irī pe baat karnī ho
kisī taḳhlīq se pahle ḳhayāl-o-fikr ko āzād rakhnā ho
kisī sāriq kisī shātir kisī kam-fahm se sachchā.ī kahnī ho
baḌī ma.asūm shakloñ meñ chhupe ayyār ko makkār ko shīsha dikhānā ho
faqīh-e-vaqt amīr-e-shahr kā qazzāq se mal.ūn se rishta batānā ho
magar ye kar nahīñ saktā maslahat ḳhāmosh rakhtī hai
harīm-e-mai-kade meñ ḳhānqāhoñ maTh madrasoñ meñ
barahman shaiḳh se pīr-e-muġhāñ se sāqiyoñ se aur vaa.iz se
ye aksar sochtā huuñ jā ke kah duuñ maiñ
riyā-o-kibr tahī-iḳhlās aur bad-atvārī se tere
jahāñ meñ ishq uḳhuvvat ilm aur aḳhlāq marte haiñ
magar maiñ kah nahīñ saktā aqīdat baaz rakhtī hai
ta.assub ḳhud-pasandī buġhz se kibr-o-hasad se
bisāt-e-zehn-o-dil ko chāhtā huuñ paak kar luuñ
zar-o-imlāk kī ḳhvāhish se apne aap ko āzād kar luuñ
ki jab jab sa.ī kartā huuñ havas inkār kartī hai
magar īqān hai merā hamāre ahd ke bachche
mire kizb-o-riyā ko makr ko aur be-īmānī ko
nafāq-o-bad-qimāshī ko mire zāhir ko bātin ko
huvaidā kar ke chhoḌeñge alal-ailān kah deñge
ki mere baap aise the mire ustāz aise the
so un kī baat se a.amāl se sharminda huuñ maiñ bhī
ye kahne se unheñ izzat na rokegī
na un ko ḳhauf rokegā
unheñ kuchh bhī na rokegā
chalan badlā huā hogā
hamārī saarī izzat saarī zillat dūsroñ ke haq kī pāmālī
kitāb-e-haq ke pannoñ par bahut vāzeh likhī hoñgī
ye har shab soch kar sota hun aane wali subhon mein
gulon se pattiyon se os ki bunden churani hain
shah aakash ki nazren-numa kirnon se pahle jag jaana hai
saba-e-ambarin ke lams ko mahsus karna hai
libas-e-sabz mein malbus alhaD pattiyon ki baaten sunni hain
hasin doshiza ki muskan si kaliyon se do ek baat kar lunga
magar kuchh kar nahin pata ki rahat roke rakhti hai
koi afsana paDhna ho kisi ki shairi pe baat karni ho
kisi taKHliq se pahle KHayal-o-fikr ko aazad rakhna ho
kisi sariq kisi shatir kisi kam-fahm se sachchai kahni ho
baDi masum shaklon mein chhupe ayyar ko makkar ko shisha dikhana ho
faqih-e-waqt amir-e-shahr ka qazzaq se malun se rishta batana ho
magar ye kar nahin sakta maslahat KHamosh rakhti hai
harim-e-mai-kade mein KHanqahon maTh madrason mein
barahman shaiKH se pir-e-mughan se saqiyon se aur waiz se
ye aksar sochta hun ja ke kah dun main
riya-o-kibr tahi-iKHlas aur bad-atwari se tere
jahan mein ishq uKHuwwat ilm aur aKHlaq marte hain
magar main kah nahin sakta aqidat baz rakhti hai
tassub KHud-pasandi bughz se kibr-o-hasad se
bisat-e-zehn-o-dil ko chahta hun pak kar lun
zar-o-imlak ki KHwahish se apne aap ko aazad kar lun
ki jab jab sai karta hun hawas inkar karti hai
magar iqan hai mera hamare ahd ke bachche
mere kizb-o-riya ko makr ko aur be-imani ko
nafaq-o-bad-qimashi ko mere zahir ko baatin ko
huwaida kar ke chhoDenge alal-ailan kah denge
ki mere bap aise the mere ustaz aise the
so un ki baat se aamal se sharminda hun main bhi
ye kahne se unhen izzat na rokegi
na un ko KHauf rokega
unhen kuchh bhi na rokega
chalan badla hua hoga
hamari sari izzat sari zillat dusron ke haq ki pamali
kitab-e-haq ke pannon par bahut wazeh likhi hongi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.