Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe sharmindagi mahsus nahin hoti

Aliya Mirza

mujhe sharmindagi mahsus nahin hoti

Aliya Mirza

MORE BYAliya Mirza

    jo sadiyāñ bichhaḌ chukī haiñ

    maiñ un meñ zinda rahtī huuñ

    aur mujhe koī sharmindagī mahsūs nahīñ hotī

    saḌkoñ par tāñge Tāpoñ sadā ab bhī suntī huuñ

    jaise mahv-e-safar huuñ

    aur havā mere kānoñ meñ kuchh raaz kahtī hai

    phir kisī gaaḌī ke horn sadā par

    chauñk jaatī huuñ

    maiñ jañgaloñ ko tārāj kar ke saḌkeñ bante dekhtī huuñ

    aur be-jān badan liye

    jañgaloñ ke nishān DhūñDhtī chalī jaatī huuñ

    ye rātoñ-rāt concrete se bante hue dev-haikal pul

    saḌkoñ ko kushāda karne ḳhvāhish meñ

    tañg hotā huā arsa-e-hayāt

    taraqqī aaḌ meñ

    ruuh ko ghāyal karne vaale saude

    qatra qatra zindagī piine vaale

    bebasī se duhā.ī dete hue anginat log

    jin chhoTī chhoTī ḳhushiyoñ ko rauñdte hue

    baḌe baḌe bulldozer

    aur ab to gutter tarah

    uble paḌe traffic ke is ta.affun-zada hujūm meñ

    kahīñ paTrī sāñseñ bhī ukhaḌ rahī haiñ

    rail-gāḌī engine jaane kahāñ rah gayā hai

    chup-chāp bichhḌī sadiyoñ meñ panāh lete hue

    mujhe sharmindagī mahsūs nahīñ hotī

    jo sadiyan bichhaD chuki hain

    main un mein zinda rahti hun

    aur mujhe koi sharmindagi mahsus nahin hoti

    saDkon par tange ki Tapon ki sada ab bhi sunti hun

    jaise mahw-e-safar hun

    aur hawa mere kanon mein kuchh raaz kahti hai

    phir kisi gaDi ke horn ki sada par

    chaunk jati hun

    main jangalon ko taraj kar ke saDken bante dekhti hun

    aur be-jaan badan liye

    jangalon ke nishan DhunDhti chali jati hun

    ye raaton-raat concrete se bante hue dew-haikal pul

    saDkon ko kushada karne ki KHwahish mein

    tang hota hua arsa-e-hayat

    taraqqi ki aaD mein

    ruh ko ghayal karne wale saude

    qatra qatra zindagi pine wale

    bebasi se duhai dete hue anginat log

    jin ki chhoTi chhoTi KHushiyon ko raundte hue

    baDe baDe bulldozer

    aur ab to gutter ki tarah

    uble paDe traffic ke is taffun-zada hujum mein

    kahin paTri ki sansen bhi ukhaD rahi hain

    rail-gaDi ka engine jaane kahan rah gaya hai

    chup-chap bichhDi sadiyon mein panah lete hue

    mujhe sharmindagi mahsus nahin hoti

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now