mujhe sirf ek din chahiye
saal ke itne saare dinoñ meñ
mujhe sirf ek din chāhiye
tumhāre saath basar karne ke liye
maiñ chāhtā huuñ
vo din behad shaffāf ho
tumhārī āñkhoñ kī tarah
behad raushan ho
tumhāre chehre jaisā
aur itnā garm
jis qadar tumhārā badan
us din kī shafaq
tumhāre hoñToñ se miltī ho
us din kī havā meñ aisī ḳhushbū ho
jo tumhārī sāñsoñ kī mahak yaad dilā.e
us din kī shaam kī siyāhī
tumhārī palkoñ jaisī ho
aur raat
tumhāre bāloñ se niklī ho
is qadar saaf din
mujhe saarā saal nahīñ miltā
aur tumhāre saath ek din basar karne kī
merī ḳhvāhish puurī nahīñ hotī
sal ke itne sare dinon mein
mujhe sirf ek din chahiye
tumhaare sath basar karne ke liye
main chahta hun
wo din behad shaffaf ho
tumhaari aankhon ki tarah
behad raushan ho
tumhaare chehre jaisa
aur itna garm
jis qadar tumhaara badan
us din ki shafaq
tumhaare honTon se milti ho
us din ki hawa mein aisi KHushbu ho
jo tumhaari sanson ki mahak yaad dilae
us din ki sham ki siyahi
tumhaari palkon jaisi ho
aur raat
tumhaare baalon se nikli ho
is qadar saf din
mujhe sara sal nahin milta
aur tumhaare sath ek din basar karne ki
meri KHwahish puri nahin hoti
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 571)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.