mujhe tanha hi rahne do
mujhe tanhā hī rahne do
mujhe tanhā hī rahne do
maiñ ab tanhā.ī meñ āsūda rahtā huuñ
mujhe ab mahfiloñ ke shor se vahshat sī hotī hai
mujhe ab apnī ḳhālī jhoñpḌī kī ḳhāmushī meñ chain paḌtā hai
yahāñ koī bhī merī aur mere dil kī bātoñ meñ ḳhalal paidā nahīñ kartā
yahāñ maiñ jazb kī hālat meñ ghanToñ khoyā rahtā huuñ
magar koī mirā ThaTThā nahīñ kartā
maiñ is māhaul meñ apnī razā se jiitā martā huuñ
yahāñ jo kaam bhī karnā ho maiñ jī-bhar ke kartā huuñ
kabhī tā-der hañstā huuñ
kabhī tā-der rotā huuñ
yahāñ merī hañsī se yā mirī āñkhoñ ke nam se koī afsāna nahīñ bantā
yahāñ maiñ hāsidoñ kī bad-nazar
aur dushmanoñ ke makr se mahfūz rahtā huuñ
yahāñ aġhyār ke dushnām aur ahbāb ke ta.anoñ kā mujh ko Dar nahīñ hotā
so mere dosto tum se guzārish hai
mujhe tanhā.ī meñ ābād rahne do
agar tum mahfil-ārā.ī se ḳhush ho
ḳhush raho
lekin
mujhe bhī shaad rahne do
mujhe tanhā hī rahne do
mujhe tanhā hī rahne do
mujhe tanha hi rahne do
mujhe tanha hi rahne do
main ab tanhai mein aasuda rahta hun
mujhe ab mahfilon ke shor se wahshat si hoti hai
mujhe ab apni KHali jhonpDi ki KHamushi mein chain paDta hai
yahan koi bhi meri aur mere dil ki baaton mein KHalal paida nahin karta
yahan main jazb ki haalat mein ghanTon khoya rahta hun
magar koi mera ThaTTha nahin karta
main is mahaul mein apni raza se jita marta hun
yahan jo kaam bhi karna ho main ji-bhar ke karta hun
kabhi ta-der hansta hun
kabhi ta-der rota hun
yahan meri hansi se ya meri aankhon ke nam se koi afsana nahin banta
yahan main hasidon ki bad-nazar
aur dushmanon ke makr se mahfuz rahta hun
yahan aghyar ke dushnam aur ahbab ke tanon ka mujh ko Dar nahin hota
so mere dosto tum se guzarish hai
mujhe tanhai mein aabaad rahne do
agar tum mahfil-arai se KHush ho
KHush raho
lekin
mujhe bhi shad rahne do
mujhe tanha hi rahne do
mujhe tanha hi rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.