mujhe taqsim kar do
apnī zabān
mire māthe se mirī naak kī siidh par
nīche kī taraf
āhista āhista le kar chalo
haañ aise yuuñ
bahut āhista bilkul chyūñTī kī tarah
reñgtī huī
tumhārī zabān mire jism ke bīchoñ-bīch
jaise tum mujhe aadhā kar rahe ho
peT ke ubhār se hote hue
naaf ke ubhār se hote hue
naaf ke rāste se
peḌū ke ubhār par Thahar jaao
ab to merī saañs chaḌhne lagī hai
yahāñ se
Dhalvān shurūa ho jaatī hai
pichhlā to saarā rāsta sīdhā hī thā
tumhārī zabān
ab tak apnī ek ek sarak meñ
kitne jaam pilā chukī hai
jānte ho
is lams kā nasha sharāb hī jaisā to hai
ek ghūñT do
zabān yahīñ rahne do
ek ghūñT le luuñ
ye jab mire halq se nīche utregī
tum nahīñ jaan sakte
tumheñ batā duuñ to bhī to kyā mere andar
sarsarāte hue
un sāñpoñ ko dekh sakoge
jo tumhārī zabān ke sarakne ke saath saath
ek ek jumbish par mere andar
phunkārte haiñ
mujh par ek saath vaar karte haiñ
haañ ruko nahīñ
is Dhalān se nīche bhī to jaanā hai
nīche aur nīche jahāñ
tumhārī zabān thoḌī der
sustā.egī
aur phir mujhe do hissoñ meñ
taqsīm kar degī
apni zaban
mere mathe se meri nak ki sidh par
niche ki taraf
aahista aahista le kar chalo
han aise yun
bahut aahista bilkul chyunTi ki tarah
rengti hui
tumhaari zaban mere jism ke bichon-bich
jaise tum mujhe aadha kar rahe ho
peT ke ubhaar se hote hue
naf ke ubhaar se hote hue
naf ke raste se
peDu ke ubhaar par Thahar jao
ab to meri sans chaDhne lagi hai
yahan se
Dhalwan shurua ho jati hai
pichhla to sara rasta sidha hi tha
tumhaari zaban
ab tak apni ek ek sarak mein
kitne jam pila chuki hai
jaante ho
is lams ka nasha sharab hi jaisa to hai
ek ghunT do
zaban yahin rahne do
ek ghunT le lun
ye jab mere halq se niche utregi
tum nahin jaan sakte
tumhein bata dun to bhi to kya mere andar
sarsaraate hue
un sanpon ko dekh sakoge
jo tumhaari zaban ke sarakne ke sath sath
ek ek jumbish par mere andar
phunkarte hain
mujh par ek sath war karte hain
han ruko nahin
is Dhalan se niche bhi to jaana hai
niche aur niche jahan
tumhaari zaban thoDi der
sustaegi
aur phir mujhe do hisson mein
taqsim kar degi
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 92)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.