mujhe un jaziron mein le jao
mujhe un jazīroñ meñ le jaao
jo kāñch jaise
chamakte hue pāniyoñ meñ ghire haiñ
jahāñ laḌkiyāñ
nāriyal ke daraḳhtoñ ke pattoñ se
apne badan ke
ḳhatarnāk hisse chhupātī haiñ
phūloñ ke gajre pahan kar
baḌī shaan se muskurātī haiñ
bachche jahāñ
ret ke ghar banāte haiñ
aur sāhiloñ kī chamaktī huī ret par
log sun-bath lete haiñ
paanī meñ ġhota lagā kar
sīpiyāñ machhliyāñ aur ghoñghe pakaḌte haiñ
aur raat ko
chāndnī meñ
nāchte aur gaate haiñ
aur phūñs ke
nanhe munne makānoñ meñ
ārām kī niind so jaate haiñ
mujhe un jazīroñ meñ le jaao
jo kāñch jaise
chamakte hue pāniyoñ meñ ghire haiñ
to mumkin hai maiñ
aur kuchh roz jī luuñ
ki shahroñ meñ ab
merā dam ghuT gayā hai
mujhe un jaziron mein le jao
jo kanch jaise
chamakte hue paniyon mein ghire hain
jahan laDkiyan
nariyal ke daraKHton ke patton se
apne badan ke
KHatarnak hisse chhupati hain
phulon ke gajre pahan kar
baDi shan se muskuraati hain
bachche jahan
ret ke ghar banate hain
aur sahilon ki chamakti hui ret par
log sun-bath lete hain
pani mein ghota laga kar
sipiyan machhliyan aur ghonghe pakaDte hain
aur raat ko
chandni mein
nachte aur gate hain
aur phuns ke
nanhe munne makanon mein
aaram ki nind so jate hain
mujhe un jaziron mein le jao
jo kanch jaise
chamakte hue paniyon mein ghire hain
to mumkin hai main
aur kuchh roz ji lun
ki shahron mein ab
mera dam ghuT gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.