mujhe wapas kar de
dil-e-pur-shauq kī daulat mujhe vāpas kar de
merī pahlī sī tabī.at mujhe vāpas kar de
vo tamannā.eñ vo ḳhvāhish vo taḌap vo armāñ
vo tasavvur ke khilaune vo ḳhayālāt ke khel
vo bilā-vaj.h laḌā.ī vo bilā-vaj.h kā mel
ḳhvāb-ālud saveroñ kī vo bedār shabeñ
jin meñ añgḌā.iyāñ kuchh tohmat-o-dushnām kī thiiñ
jo bahut qīmtī thiiñ aur baḌe kaam kī thiiñ
vo laḌakpan kā zamāna vo salone shab-o-roz
vo umangeñ vo tarangeñ vo tajassus vo ḳharosh
vo baḌī shoḳh javānī baḌā ma.asūm sā josh
vo lipaTne ke bahāne vo chhiTakne ke javāz
vo na samjhī huī bātoñ kā surāġh aur vo raaz
vo jhijaktī huī sāñsoñ kā sharārat bharā saaz
phir mujhe chāhiye vāpas ba-sad-andāz-o-niyāz
ai sanam-ḳhāna-e-māzī ke but-e-pur-e.ajāz
lā mire lahje kī luknat mujhe vāpas kar de
lā mirā sīġha-e-ulfat mujhe vāpas kar de
lā mirī avvalīñ chāhat mujhe vāpas kar de
lā mirī saarī mohabbat mujhe vāpas kar de
dil-e-pur-shauq ki daulat mujhe wapas kar de
meri pahli si tabiat mujhe wapas kar de
wo tamannaen wo KHwahish wo taDap wo arman
wo tasawwur ke khilaune wo KHayalat ke khel
wo bila-wajh laDai wo bila-wajh ka mel
KHwab-alud saweron ki wo bedar shaben
jin mein angDaiyan kuchh tohmat-o-dushnam ki thin
jo bahut qimti thin aur baDe kaam ki thin
wo laDakpan ka zamana wo salone shab-o-roz
wo umangen wo tarangen wo tajassus wo KHarosh
wo baDi shoKH jawani baDa masum sa josh
wo lipaTne ke bahane wo chhiTakne ke jawaz
wo na samjhi hui baaton ka suragh aur wo raaz
wo jhijakti hui sanson ka shararat bhara saz
phir mujhe chahiye wapas ba-sad-andaz-o-niyaz
ai sanam-KHana-e-mazi ke but-e-pur-eajaz
la mere lahje ki luknat mujhe wapas kar de
la mera sigha-e-ulfat mujhe wapas kar de
la meri awwalin chahat mujhe wapas kar de
la meri sari mohabbat mujhe wapas kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.