mujrim
merī in be-ḳhvāb āñkhoñ se churā kar surḳhiyāñ
tum na.ī dozaḳh banā lo
mere apnoñ se bichhaḌne kā jo dukh hai us se
tum tirshūl Dhālo
raah meñ kāñTe ugaao maslahat ke
aur mujhe bulldozeroñ se bhuun Daalo
ki tum ko vālihāna chāhte rahne kā mujrim huuñ
meri in be-KHwab aankhon se chura kar surKHiyan
tum nai dozaKH bana lo
mere apnon se bichhaDne ka jo dukh hai us se
tum tirshul Dhaalo
rah mein kanTe ugao maslahat ke
aur mujhe bulldozeron se bhun Dalo
ki tum ko walihana chahte rahne ka mujrim hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.