mujrim
yahī rasta mirī manzil kī taraf jaatā hai
jis ke fōtpath faqīroñ se aTe rahte haiñ
ḳhasta kapḌoñ meñ ye lipTe hue mariyal Dhāñche
ye bhikārī ki jinheñ dekh ke ghin aatī hai
haDDiyāñ jism kī niklī huī pichke hue gaal
maile sar meñ jueñ, a.azā se Tapaktā huā koḌh
ruuh bīmār, badan sust, nigāheñ pāmāl
haath phailā.e paḌe rahte haiñ rogī insān
chand bevāoñ ke madqūq se piile chehre
kuchh havas-kār nigāhoñ meñ utar jaate haiñ
jin ke aflās-zada jism, Dhalakte siine
chand sikkoñ ke evaz shab ko bikā karte haiñ
shiddat-e-fāqa se rote hue nanhe bachche
ek roTī ke nivāle se bahal jaate haiñ
yā sar-e-shām hī so jaate haiñ bhūke pyāse
maañ kī sūkhī huī chhātī ko dabā kar muñh meñ
chand bad-zeb se shohrat-zada insāñ aksar
apnī daulat o saḳhāvat kī numā.ish ke liye
yā kabhī rahm ke jazbe se harārat pā kar
chaar chhe paise unheñ baḳhsh diyā karte haiñ
kyā faqat rahm kī haqdār haiñ nañgī rūheñ?
kyuuñ ye insānoñ pe insān taras khāte haiñ?
kyuuñ inheñ dekh ke ehsās-e-tahī-dastī hai
aksar auqāt maiñ katrā ke nikal jaatā huuñ?
yahī rasta mirī manzil kī taraf jaatā hai
yahi rasta meri manzil ki taraf jata hai
jis ke footpath faqiron se aTe rahte hain
KHasta kapDon mein ye lipTe hue mariyal Dhanche
ye bhikari ki jinhen dekh ke ghin aati hai
haDDiyan jism ki nikli hui pichke hue gal
maile sar mein juen, aaza se Tapakta hua koDh
ruh bimar, badan sust, nigahen pamal
hath phailae paDe rahte hain rogi insan
chand bewaon ke madquq se pile chehre
kuchh hawas-kar nigahon mein utar jate hain
jin ke aflas-zada jism, Dhalakte sine
chand sikkon ke ewaz shab ko bika karte hain
shiddat-e-faqa se rote hue nanhe bachche
ek roTi ke niwale se bahal jate hain
ya sar-e-sham hi so jate hain bhuke pyase
man ki sukhi hui chhati ko daba kar munh mein
chand bad-zeb se shohrat-zada insan aksar
apni daulat o saKHawat ki numaish ke liye
ya kabhi rahm ke jazbe se hararat pa kar
chaar chhe paise unhen baKHsh diya karte hain
kya faqat rahm ki haqdar hain nangi ruhen?
kyun ye insanon pe insan taras khate hain?
kyun inhen dekh ke ehsas-e-tahi-dasti hai
aksar auqat main katra ke nikal jata hun?
yahi rasta meri manzil ki taraf jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.