mukafat
thakī thakī muzmahil havā ke nahīf jhoñke
ujaaḌ āñgan meñ aa ke kuchh der ruk ga.e the
dabī zabāñ se sunā rahe the
vo peḌ jis ke sunahre pattoñ rupahlī shāḳhoñ pe
ambarīñ phuul gauharīñ phal saje hue the
jhulas chukā hai
vahāñ ke qurb-o-javār meñ kuchh
rivāyateñ aur ajiib qisse bhī
us se mansūb ho ga.e haiñ
magar kisī ko ḳhud apnī tārīk ruuh kā
jaise koī ehsās hī nahīñ hai
thaki thaki muzmahil hawa ke nahif jhonke
ujaD aangan mein aa ke kuchh der ruk gae the
dabi zaban se suna rahe the
wo peD jis ke sunahre patton rupahli shaKHon pe
ambarin phul gauharin phal saje hue the
jhulas chuka hai
wahan ke qurb-o-jawar mein kuchh
riwayaten aur ajib qisse bhi
us se mansub ho gae hain
magar kisi ko KHud apni tarik ruh ka
jaise koi ehsas hi nahin hai
- Book : sheerazah (Pg. 94)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.