mukalima
''havā ke parde meñ kaun hai jo charāġh kī lau se kheltā hai
koī to hogā
jo ḳhil.at-e-intisāb pahnā ke vaqt kī rau se kheltā hai
koī to hogā
hijāb ko ramz-e-nūr kahtā hai aur partav se kheltā hai
koī to hogā''
''koī nahīñ hai
kahīñ nahīñ hai
ye ḳhush-yaqīnoñ ke ḳhush-gumānoñ ke vāhime haiñ jo har savālī se bai.at-e-e'tibār lete haiñ
us ko andar se maar dete haiñ''
''to kaun hai vo jo lauh-e-āb-e-ravāñ pe sūraj ko sabt kartā hai aur bādal uchhāltā hai
jo bādaloñ ko samundaroñ par kashīd kartā hai aur batn-e-sadaf meñ ḳhurshīd Dhāltā hai
vo sañg meñ aag, aag meñ rañg, rañg meñ raushnī ke imkān rakhne vaalā
vo ḳhaak meñ saut, saut meñ harf, harf meñ zindagī ke sāmān rakhne vaalā
nahīñ koī hai
kahīñ koī hai
koī to hogā''
hawa ke parde mein kaun hai jo charagh ki lau se khelta hai
koi to hoga
jo KHilat-e-intisab pahna ke waqt ki rau se khelta hai
koi to hoga
hijab ko ramz-e-nur kahta hai aur partaw se khelta hai
koi to hoga
koi nahin hai
kahin nahin hai
ye KHush-yaqinon ke KHush-gumanon ke wahime hain jo har sawali se baiat-e-e'tibar lete hain
us ko andar se mar dete hain
to kaun hai wo jo lauh-e-ab-e-rawan pe suraj ko sabt karta hai aur baadal uchhaalta hai
jo baadalon ko samundaron par kashid karta hai aur batn-e-sadaf mein KHurshid Dhaalta hai
wo sang mein aag, aag mein rang, rang mein raushni ke imkan rakhne wala
wo KHak mein saut, saut mein harf, harf mein zindagi ke saman rakhne wala
nahin koi hai
kahin koi hai
koi to hoga
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 35)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.