mukalima nazr-e-ismat
tum aisī sub.hoñ tum aisī shāmoñ meñ
apne ghar se kabhī na niklo
ki jab havā.eñ supurdagī se nihāl ho kar
tumhāre pahlū meñ Doltī hoñ
tumhāre āñchal se kheltī hoñ
tum aisī sub.hoñ tum aisī shāmoñ meñ
apne ghar se kabhī na niklo
ki havā.eñ udaas lahje meñ tum se pūchheñ
tumhāre āñkhoñ ko kyā huā hai
tumhāre chehre pe kyā likhā hai
tumhāre uThte hue qadam par
ye laḌkhaḌāhaT sī kis liye hai
tum aisī sub.hoñ tum aisī shāmoñ meñ
apne ghar se kabhī na niklo
ki jab havā.eñ
badalte mausam kī sāzisheñ meñ sharīk ho kar
tumhāre jī meñ ġhalat-bayānī kā zahr gholeñ
suno ai pyārī sī sāñvlī sī sajīlī laḌkī
yahī havā.eñ to āte-jāte
musāfirān-e-rah-e-vafā par
ġhubār-e-tohmat uchhāltī hai
mohabbatoñ par yaqīñ na ho to
diloñ meñ paiham
hazār vahmoñ ko Dāltī hai
tum aisī sub.hoñ tum aisī shāmoñ meñ
apne ghar se kabhī na niklo kabhī na niklo kabhī na niklo
tum aisi subhon tum aisi shamon mein
apne ghar se kabhi na niklo
ki jab hawaen supurdagi se nihaal ho kar
tumhaare pahlu mein Dolti hon
tumhaare aanchal se khelti hon
tum aisi subhon tum aisi shamon mein
apne ghar se kabhi na niklo
ki hawaen udas lahje mein tum se puchhen
tumhaare aankhon ko kya hua hai
tumhaare chehre pe kya likha hai
tumhaare uThte hue qadam par
ye laDkhaDahaT si kis liye hai
tum aisi subhon tum aisi shamon mein
apne ghar se kabhi na niklo
ki jab hawaen
badalte mausam ki sazishen mein sharik ho kar
tumhaare ji mein ghalat-bayani ka zahr gholen
suno ai pyari si sanwli si sajili laDki
yahi hawaen to aate-jate
musafiran-e-rah-e-wafa par
ghubar-e-tohmat uchhaalti hai
mohabbaton par yaqin na ho to
dilon mein paiham
hazar wahmon ko Dalti hai
tum aisi subhon tum aisi shamon mein
apne ghar se kabhi na niklo kabhi na niklo kabhi na niklo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.