mukalima
daadū
aap ke baabā kahāñ haiñ
mere bachche
mere baabā to bahut muddat huī
allāh miyāñ ke paas haiñ
aur aap kī maamā kahāñ haiñ
mere bachche
vo bhī un ke saath haiñ
allāh miyāñ ke paas
daadū
aap ke baabā bhī
aur maamā bhī
donoñ mar ga.e
kaise mare the
kyā unheñ golī lagī thī
bam phaTā thā
yā kahīñ vo factory kī aag meñ
jal kar mire the
dadu
aap ke baba kahan hain
mere bachche
mere baba to bahut muddat hui
allah miyan ke pas hain
aur aap ki mama kahan hain
mere bachche
wo bhi un ke sath hain
allah miyan ke pas
dadu
aap ke baba bhi
aur mama bhi
donon mar gae
kaise mare the
kya unhen goli lagi thi
bam phaTa tha
ya kahin wo factory ki aag mein
jal kar mere the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.