mukalima
uTho
jaao fauran nahāo
ki tum ḳhvāb meñ laḌkiyoñ se mile ho
to phir kyā huā
laḌkiyoñ se to maiñ roz hī
ghar meñ bāzār meñ aur office meñ miltā huuñ
bāteñ bhī kartā huuñ bose bhī letā huuñ
magar
magar kuchh nahīñ
jaao jā kar nahāo
achchhā agar ye hī zid hai tumhārī
to maiñ jā rahā huuñ
uTho
jao fauran nahao
ki tum KHwab mein laDkiyon se mile ho
to phir kya hua
laDkiyon se to main roz hi
ghar mein bazar mein aur office mein milta hun
baaten bhi karta hun bose bhi leta hun
magar
magar kuchh nahin
jao ja kar nahao
achchha agar ye hi zid hai tumhaari
to main ja raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.