mukashafa-2
ye kis kī nidā māvarā-e-nidā aa rahī hai
ye ro.e ma.ashiyat hai yā ġhaib kā koī nūrānī haalā
maut kī aamad aamad hai
maut maktab-e-ilm-e-adam se nikal ke
jism ḳhāk-o-ḳhāshāk se jaan nikāltī hai
phir apnī bartarī surḳh-ravī liye
zamīñ-tā-zamīñ aur āsmāñ-tā-āsmāñ phirtī hai
maut ek kartab-bāz hai
yā tamām kartaboñ kī mojid hai
us ne nar aur maada ko ījād kiyā
aur donoñ ko ham-badan kiyā
phir inzāl kī mausīqī meñ mausīqī meñ us kā gum honā hī to azal-o-abad hai
kabhī na zāhir hone vaalī zamīn kī fazā aur us kā āsmān to
parinde ke bātin meñ hotā hai
varna jism se jaan nikalte hue kis ne dekhā hai
kis ne dekhā hai ek dūsre meñ sote-jāgte peḌ-paudoñ ko
hashrāt ko jamādāt ko
niiñd to kisī gum-shuda jazīre kā naam hai
aur bedārī to āñkhoñ ko dhokā dene vaalī dhund hai
aur is dhund meñ an-ginat sadiyāñ biit ga.ī
phir na jazīra hī milā na sadiyāñ mustaqbil huiiñ
ye kis ki nida mawara-e-nida aa rahi hai
ye roe mashiyat hai ya ghaib ka koi nurani haala
maut ki aamad aamad hai
maut maktab-e-ilm-e-adam se nikal ke
jism KHak-o-KHashak se jaan nikalti hai
phir apni bartari surKH-rawi liye
zamin-ta-zamin aur aasman-ta-asman phirti hai
maut ek kartab-baz hai
ya tamam kartabon ki mojid hai
us ne nar aur mada ko ijad kiya
aur donon ko ham-badan kiya
phir inzal ki mausiqi mein mausiqi mein us ka gum hona hi to azal-o-abad hai
kabhi na zahir hone wali zamin ki faza aur us ka aasman to
parinde ke baatin mein hota hai
warna jism se jaan nikalte hue kis ne dekha hai
kis ne dekha hai ek dusre mein sote-jagte peD-paudon ko
hashraat ko jamadat ko
nind to kisi gum-shuda jazire ka nam hai
aur bedari to aankhon ko dhoka dene wali dhund hai
aur is dhund mein an-ginat sadiyan bit gai
phir na jazira hi mila na sadiyan mustaqbil huin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.