mukammal sher
ba-mushkil milne vaale
qurb ke lamhoñ ko
yakjā joḌ kar jo thī sajā.ī
us pighaltī shaam
maddham raushnī meñ
restaurant kī mez par
jab chāñd mere saath baiThā thā
masāla chaa.e kī chuskī pe
us ke juḌvāñ lab ik dūsre se mil rahe the
tab hamāre hijr kī majbūriyāñ misroñ meñ lipTā kar
use ik sher maiñ ne yuuñ sunāyā thā
tumhāre naam se vābasta hai duurī kuchh is had tak
tumhārā naam luuñ to lab bhī aapas meñ nahīñ milte
merā ye sher sun kar us ne thoḌī der sochā
aur phir dhīre se apnā naam hoñToñ par sajā kar
us ne mere sher kī tasdīq kar dī
aur mirā likhnā mukammal ho gayā thā
ba-mushkil milne wale
qurb ke lamhon ko
yakja joD kar jo thi sajai
us pighalti sham
maddham raushni mein
restaurant ki mez par
jab chand mere sath baiTha tha
masala chae ki chuski pe
us ke juDwan lab ek dusre se mil rahe the
tab hamare hijr ki majburiyan misron mein lipTa kar
use ek sher main ne yun sunaya tha
tumhaare nam se wabasta hai duri kuchh is had tak
tumhaara nam lun to lab bhi aapas mein nahin milte
mera ye sher sun kar us ne thoDi der socha
aur phir dhire se apna nam honTon par saja kar
us ne mere sher ki tasdiq kar di
aur mera likhna mukammal ho gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.