muKHatibat-e-ashiq
chāñd sī sūrat jo dekhī
jaan ke laale paḌe
zulf ruḳh par yuuñ thī bikhrī
man pe joñ kaale paḌe
kis ġhazab kī sāda-lauhī
qahr vo tarz-e-ḳhirām
mast āñkheñ do chhalakte mai ke paimāne mudām
gaal donoñ gul-ba-dāman
sarv sā qad lā-javāb
lahlahātā thā jo joban
Dagmagātā thā shabāb
haa.e tīkhī tīkhī chitvan
aah pyārā pyārā naam
kaun jaa.e kis ko bhejūñ tū sabā le jā payām
kah ye us se ai dil-ārā
ab nahīñ hai tāb-e-zabt
hai jo tujh par marne vaalā
ho chalā hai us ko ḳhabt
kyā bigaḌ jā.egā terā
rahm se tū le jo kaam
tū hai apnā aap mālik vo magar terā ġhulām
ashk haiñ din-rāt jaarī
surḳh jaise jū-e-ḳhūñ
gar yahī hālat rahegī
āḳhirash hogā junūñ
aah ik aalam hai taarī
kaam hotā hai tamām
chal sitamgar le ḳhabar ab ziist hai tujh bin harām
chand si surat jo dekhi
jaan ke lale paDe
zulf ruKH par yun thi bikhri
man pe jon kale paDe
kis ghazab ki sada-lauhi
qahr wo tarz-e-KHiram
mast aankhen do chhalakte mai ke paimane mudam
gal donon gul-ba-daman
sarw sa qad la-jawab
lahlahata tha jo joban
Dagmagata tha shabab
hae tikhi tikhi chitwan
aah pyara pyara nam
kaun jae kis ko bhejun tu saba le ja payam
kah ye us se ai dil-ara
ab nahin hai tab-e-zabt
hai jo tujh par marne wala
ho chala hai us ko KHabt
kya bigaD jaega tera
rahm se tu le jo kaam
tu hai apna aap malik wo magar tera ghulam
ashk hain din-raat jari
surKH jaise ju-e-KHun
gar yahi haalat rahegi
aaKHirash hoga junun
aah ek aalam hai tari
kaam hota hai tamam
chal sitamgar le KHabar ab zist hai tujh bin haram
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.