muKHlis
ik muddat ke baad
maiñ apne ghar aaya huuñ
mere sahn ke paude mujh ko dekh rahe haiñ
sar ko uThā.e kānoñ ke mānind uThā.e pattoñ ko
qadmoñ kī aahaT sunte haiñ
ḳhush ho kar shāyad hañste haiñ
log to haiñ anjān
unheñ ma.alūm hī kyā hai
paude sab kuchh jānte haiñ
apnoñ ko pahchānte haiñ
itne din pardes meñ mujh ko
apnoñ ne kuchh ḳhabar na bhejī
aur ye paude har shab ko
mere ḳhvāb ke har kone ko
apnī ḳhushbū se mahkāte rahte the
mujh ko dekh bulāte the
ek muddat ke baad maiñ apne ghar aaya huuñ
mere sahn ke paude
mujh ko dekh rahe haiñ
ek muddat ke baad
main apne ghar aaya hun
mere sahn ke paude mujh ko dekh rahe hain
sar ko uThae kanon ke manind uThae patton ko
qadmon ki aahaT sunte hain
KHush ho kar shayad hanste hain
log to hain anjaan
unhen malum hi kya hai
paude sab kuchh jaante hain
apnon ko pahchante hain
itne din pardes mein mujh ko
apnon ne kuchh KHabar na bheji
aur ye paude har shab ko
mere KHwab ke har kone ko
apni KHushbu se mahkate rahte the
mujh ko dekh bulate the
ek muddat ke baad main apne ghar aaya hun
mere sahn ke paude
mujh ko dekh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.