mukti
garajtī
TuuT kar girtī ghaTā.eñ
āsmānoñ se musalsal sañg-bārī
nauhagar dīvār-o-dar
zaḳhmī chhateñ
shīshoñ pe paanī qatra qatra phailtā baḌhtā
phisaltī TūTtī nannhī lakīreñ
jo thake hāthoñ kī rekhāoñ kī sūrat
nit-nirāle ruup bhartī haiñ
ḳhalā dil kā zarā sī der bhī ḳhālī nahīñ hotā
use jo bhī mayassar ho vo bhar letā hai siine meñ
tamannā phir tamannā hai
vo chāhe maut hī kī ho
vahī dukhtī ragoñ meñ ḳhuun ke tūfāñ thapeḌe
phir vahī shīshoñ pe baḌhte phailte jaale
paroñ kī āḳhirī be-jān sī
ik phaḌphaḌāhaT ke sivā kyā haiñ
ye fariyād-o-fuġhāñ naale
mujhe ma.alūm hai jab vaqt bahtā hai
to phir maujoñ meñ kab vo farq kartā hai
vo chāhe pur-sukūñ hoñ
yā kisī sāhil se apne sar ko Takrā.eñ
sisaktī reñgtī guzrīñ
taḌap kar ret meñ ḳhud jazb ho jaa.eñ
vo chāheñ kuchh kareñ
kyā farq paḌtā hai
phisaltī TūTtī nannhī lakīreñ
darāzoñ se nikal kar farsh tak aane lagīñ lekin
vo kitnī duur tak yuuñ reñg saktī haiñ
dilāse reshmī paiġhām ḳhvāb-ālūda tamannā.eñ
bhalā is sañg-bārī kī sipar kaise baneñgī
hazāroñ kā.enāteñ TūTtī bantī haiñ har lahza
tanāvar peḌ girte haiñ
chaTāneñ reza reza ho ke nas nas meñ khaTaktī haiñ
darīche pai-ba-pai barsāt ke hamloñ se andhe haiñ
fazā gūñgī hai bahrī hai
chalo ye zindagī aur maut donoñ aaj se mere nahīñ haiñ
mirī āñkhoñ kī bīnā.ī
zabāñ kī tāb-e-goyā.ī
samā.at lams sab kuchh aaj se mere nahīñ haiñ
chalo maiñ bhī tamāshā.ī huuñ ḳhud apne jahannam kā
mirī duniyā tamāshā hai
maiñ apne sāmne ḳhud ko taḌaptā sar paTaktā dekh saktā huuñ
aur aisā mutma.in huuñ aaj jaise ye janam mujh ko
abhī kuchh der pahle hī milā hai
aur kisī an-jānī duniyā se
baraste bādaloñ ke saath aayā huuñ
garajti
TuT kar girti ghaTaen
aasmanon se musalsal sang-bari
nauhagar diwar-o-dar
zaKHmi chhaten
shishon pe pani qatra qatra phailta baDhta
phisalti TuTti nannhi lakiren
jo thake hathon ki rekhaon ki surat
nit-nirale rup bharti hain
KHala dil ka zara si der bhi KHali nahin hota
use jo bhi mayassar ho wo bhar leta hai sine mein
tamanna phir tamanna hai
wo chahe maut hi ki ho
wahi dukhti ragon mein KHun ke tufan thapeDe
phir wahi shishon pe baDhte phailte jale
paron ki aaKHiri be-jaan si
ek phaDphaDahaT ke siwa kya hain
ye fariyaad-o-fughan nale
mujhe malum hai jab waqt bahta hai
to phir maujon mein kab wo farq karta hai
wo chahe pur-sukun hon
ya kisi sahil se apne sar ko Takraen
sisakti rengti guzrin
taDap kar ret mein KHud jazb ho jaen
wo chahen kuchh karen
kya farq paDta hai
phisalti TuTti nannhi lakiren
daraazon se nikal kar farsh tak aane lagin lekin
wo kitni dur tak yun reng sakti hain
dilase reshmi paigham KHwab-aluda tamannaen
bhala is sang-bari ki sipar kaise banengi
hazaron kaenaten TuTti banti hain har lahza
tanawar peD girte hain
chaTanen reza reza ho ke nas nas mein khaTakti hain
dariche pai-ba-pai barsat ke hamlon se andhe hain
faza gungi hai bahri hai
chalo ye zindagi aur maut donon aaj se mere nahin hain
meri aankhon ki binai
zaban ki tab-e-goyai
samaat lams sab kuchh aaj se mere nahin hain
chalo main bhi tamashai hun KHud apne jahannam ka
meri duniya tamasha hai
main apne samne KHud ko taDapta sar paTakta dekh sakta hun
aur aisa mutmain hun aaj jaise ye janam mujh ko
abhi kuchh der pahle hi mila hai
aur kisi an-jaani duniya se
baraste baadalon ke sath aaya hun
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 177)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.