mulaqat
baad ek muddat ke
ajnabī se chehroñ meñ
ḳhvāb ḳhvāb āñkhoñ meñ
dard kī samā.at meñ
be-dilī kī saa.at meñ
ek ajnabī sūrat
āshnā nazar aa.ī
ḳhvāb ḳhvāb āñkhoñ meñ
raushnī sī lahrā.ī
dard kī samā.at ne
dil kī kuchh ḳhabar paa.ī
us ne garm-joshī se haath bhī milāyā thā
baad ek muddat ke maiñ bhī muskurāyā thā
us ne mere shāne ko chuum hī liyā āḳhir
maiñ bhī ek lamhe ko jhuum hī liyā āḳhir
aao ik zarā sī der lawn hī meñ Tahleñge
jo bhī kahnā sunñā hai ho sakā to kah leñge
shāyad ek muddat kī bekalī bhī kal paa.e
aur hamārī qismat se chāñd bhī nikal aa.e
ik udaas sannāTā aur shab zamistāñ kī
be-suḳhan kahī ham ne baat dard-e-pinhāñ kī
chāñd ne bhī chupke se kuchh kahā to thā ham se
mere uljhe bāloñ se us kī zulf-e-barham se
vo thī chāñd thā maiñ thā
yuuñ to kitne chehre the
apnī zaat ke andar
ham sabhī akele the
sard sard ik chehra
zard zard ik chehra
gard gard ik chehra
dard-yāfta chehre hijr-yāfta chehre
jaise rū-ba-rū apne ā.īne se rakkhe the
baad ek muddat ke
ajnabi se chehron mein
KHwab KHwab aankhon mein
dard ki samaat mein
be-dili ki saat mein
ek ajnabi surat
aashna nazar aai
KHwab KHwab aankhon mein
raushni si lahrai
dard ki samaat ne
dil ki kuchh KHabar pai
us ne garm-joshi se hath bhi milaya tha
baad ek muddat ke main bhi muskuraya tha
us ne mere shane ko chum hi liya aaKHir
main bhi ek lamhe ko jhum hi liya aaKHir
aao ek zara si der lawn hi mein Tahlenge
jo bhi kahna sunna hai ho saka to kah lenge
shayad ek muddat ki bekali bhi kal pae
aur hamari qismat se chand bhi nikal aae
ek udas sannaTa aur shab zamistan ki
be-suKHan kahi hum ne baat dard-e-pinhan ki
chand ne bhi chupke se kuchh kaha to tha hum se
mere uljhe baalon se us ki zulf-e-barham se
wo thi chand tha main tha
yun to kitne chehre the
apni zat ke andar
hum sabhi akele the
sard sard ek chehra
zard zard ek chehra
gard gard ek chehra
dard-yafta chehre hijr-yafta chehre
jaise ru-ba-ru apne aaine se rakkhe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.