mulaqat
ham mile bhī to baḌe fāsle haa.il the lagā
vaqt barsoñ kā faqat chand daqīqoñ meñ kaTā
vo jo pahle sī muravvat thī muravvat hī rahī
dil ke mil jaane kī hasrat thī vo hasrat hī rahī
muñh khule lafz magar qaid zabāñ hī meñ rahe
kitnī yādoñ ke dafīne rag-e-jāñ hī meñ rahe
ham ne din-rāt mashaqqat ke guzāre kaise
phuul baasī hue har shauq ke kyā kyā kahiye
hum mile bhi to baDe fasle hail the laga
waqt barson ka faqat chand daqiqon mein kaTa
wo jo pahle si murawwat thi murawwat hi rahi
dil ke mil jaane ki hasrat thi wo hasrat hi rahi
munh khule lafz magar qaid zaban hi mein rahe
kitni yaadon ke dafine rag-e-jaan hi mein rahe
hum ne din-raat mashaqqat ke guzare kaise
phul basi hue har shauq ke kya kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.