mulaqat
merī ḳhairiyat na pūchho
mire dard meñ sharākat
hai mukammal ziyāñ kā saudā
kisī ajnabī kī mānind
yūñhī ek pal ko Thahro
kisī aur samt dekho
mirī aañkh meñ na jhāñko
koī dost lamha tum ko
kahīñ fikrmand na kar de
mujhe sab pata hai lekin
ye zarā sī muskurāhaT
mujhe ḳhush-gumāñ na kar de
sar-e-rāh mil ga.e ho
kisī ajnabī kī mānind
yūñhī ek pal ko Thahro
merī ḳhairiyat na pūchho
meri KHairiyat na puchho
mere dard mein sharakat
hai mukammal ziyan ka sauda
kisi ajnabi ki manind
yunhi ek pal ko Thahro
kisi aur samt dekho
meri aankh mein na jhanko
koi dost lamha tum ko
kahin fikrmand na kar de
mujhe sab pata hai lekin
ye zara si muskurahaT
mujhe KHush-guman na kar de
sar-e-rah mil gae ho
kisi ajnabi ki manind
yunhi ek pal ko Thahro
meri KHairiyat na puchho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.