mulaqat
tumhāre haath kī narmī
tumhāre jism kī aañch
tumhāre qurb kī sayyāl chāñdnī kī phuvār
baras rahī hai mulāqāt kī ghaTāoñ se
tumhārā haath mire haath meñ hai
lekin ham
yahāñ se duur bahut duur haiñ
jahāñ mujh ko
tumhārī koī ḳhabar hai tumheñ na merā patā
hamāre biich meñ haa.il hai lams kā sahrā
tum apnā haath chhuḌā lo
ki ham qarīb aa jaa.eñ
tumhaare hath ki narmi
tumhaare jism ki aanch
tumhaare qurb ki sayyal chandni ki phuwar
baras rahi hai mulaqat ki ghaTaon se
tumhaara hath mere hath mein hai
lekin hum
yahan se dur bahut dur hain
jahan mujh ko
tumhaari koi KHabar hai tumhein na mera pata
hamare bich mein hail hai lams ka sahra
tum apna hath chhuDa lo
ki hum qarib aa jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.