mulk hai ya maqtal
tumhārī ḳhūb-sūratī hai yā maut kā ḳhayāl
bāġhoñ meñ is baar kuchh ziyāda hī khile haiñ gulāb
dekho in moroñ kī āñkhoñ meñ bādaloñ kā tavīl intizār
hamārī bechārgī tumhāre nāz-o-andāz
tārīḳh gavāh hai
kitābeñ bharī paḌī hai zinda afsānoñ se
is kashmakash kā hāsil kyā hai
vasl yā firāq
ye āḌī-tirchhī sī lakīreñ
jin se bane ho.e dā.ere ko ham mulk kahte haiñ
jahāñ āzādī ke liye rūheñ rahtī haiñ taḌaptī
qaid-ḳhāne nahīñ to aur kyā haiñ
yug biit ga.e
vaqt badal gayā
kitābeñ chaaT Daalī ga.iiñ
lekin kahīñ koī masīhā sach kahne ko aaj bhī nahīñ tayyār
kahte haiñ ki āñkhoñ meñ chhupī huī hotī hai
maut kī aahaT
ghar ho yā bāzār kisī se nazar milāte hī
in dinoñ hone lagtī hai ghabrāhaT
kyā nafāsat se chābuk mārte haiñ hukkām
maza aa rahā hai kahte haiñ avaam
tumhaari KHub-surati hai ya maut ka KHayal
baghon mein is bar kuchh ziyaada hi khile hain gulab
dekho in moron ki aankhon mein baadalon ka tawil intizar
hamari bechaargi tumhaare naz-o-andaz
tariKH gawah hai
kitaben bhari paDi hai zinda afsanon se
is kashmakash ka hasil kya hai
wasl ya firaq
ye aaDi-tirchhi si lakiren
jin se bane hoe daere ko hum mulk kahte hain
jahan aazadi ke liye ruhen rahti hain taDapti
qaid-KHane nahin to aur kya hain
yug bit gae
waqt badal gaya
kitaben chaT Dali gain
lekin kahin koi masiha sach kahne ko aaj bhi nahin tayyar
kahte hain ki aankhon mein chhupi hui hoti hai
maut ki aahaT
ghar ho ya bazar kisi se nazar milate hi
in dinon hone lagti hai ghabrahaT
kya nafasat se chabuk marte hain hukkaam
maza aa raha hai kahte hain awam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.