mulk ki mohabbat
jise mulk se apne ulfat nahīñ hai
vo dil qābil-e-afv-o-rahmat nahīñ hai
baḌī chiiz haiñ ittihād-o-mohabbat
baġhair in ke duniyā meñ izzat nahīñ hai
ḳhudāyā vatan kī mohabbat atā kar
ki is ke sivā koī daulat nahīñ hai
ye aapas kī nāchāqiyāñ ḳhatm kar do
koī is se baḌh kar jahālat nahīñ hai
jo ta.alīm detā hai jañg-o-jadal kī
kabhī musleh-e-mulk-o-millat nahīñ hai
jo rakhtā hai aapas meñ buġhz-o-adāvat
vo hargiz sazā-vār-e-azmat nahīñ hai
sikhātā hai jo ḳhud-sarī-o-sharārat
vatan ko ab us kī zarūrat nahīñ hai
ilāhī un āñkhoñ ko be-nūr kar de
jin āñkhoñ meñ nūr-e-muravvat nahīñ hai
jo insān hai ādamiyat se ḳhālī
use jānvar par fazīlat nahīñ hai
nahīñ izzat-e-qaum jis kī nazar meñ
jahāñ meñ kahīñ us kī izzat nahīñ hai
hukūmat vo barbād ho kar rahegī
re.āyā ko jis kī zarūrat nahīñ hai
jise mulk se apne ulfat nahin hai
wo dil qabil-e-afw-o-rahmat nahin hai
baDi chiz hain ittihad-o-mohabbat
baghair in ke duniya mein izzat nahin hai
KHudaya watan ki mohabbat ata kar
ki is ke siwa koi daulat nahin hai
ye aapas ki nachaqiyan KHatm kar do
koi is se baDh kar jahaalat nahin hai
jo talim deta hai jang-o-jadal ki
kabhi musleh-e-mulk-o-millat nahin hai
jo rakhta hai aapas mein bughz-o-adawat
wo hargiz saza-war-e-azmat nahin hai
sikhata hai jo KHud-sari-o-shararat
watan ko ab us ki zarurat nahin hai
ilahi un aankhon ko be-nur kar de
jin aankhon mein nur-e-murawwat nahin hai
jo insan hai aadamiyat se KHali
use jaanwar par fazilat nahin hai
nahin izzat-e-qaum jis ki nazar mein
jahan mein kahin us ki izzat nahin hai
hukumat wo barbaad ho kar rahegi
reaya ko jis ki zarurat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.