mummy papa ye batlao
kyoñ hotā hai nau do gyārah
tiin terah aur nau aThārah
chhakkā panja aur pau bārah
mummy paapā ye batlāo
makḌā kyoñ hai jaalā buntā
saañp kā paañv kyoñ nahīñ hotā
murġhī pahle hai yā anDā
mummy paapā ye batlāo
taaḌ ke nīche kyoñ nahīñ saayā
rang-e-hinā kyoñ laal hai hotā
kyoñ hai gul ke saath hī kāñTā
mummy paapā ye batlāo
uuñT ke muñh meñ ziira kaisā
baḌe bol kā sar kyoñ nīchā
kyoñ kahte haiñ daal meñ kaalā
mummy paapā ye batlāo
hal hone kī nahīñ hai aashā
ye sab hai ik khel-tamāshā
sar na khapāo mummy paapā
kah ga.e apne bhayyā pāshā
kyon hota hai nau do gyarah
tin terah aur nau aThaarah
chhakka panja aur pau barah
mummy papa ye batlao
makDa kyon hai jala bunta
sanp ka panw kyon nahin hota
murghi pahle hai ya anDa
mummy papa ye batlao
taD ke niche kyon nahin saya
rang-e-hina kyon lal hai hota
kyon hai gul ke sath hi kanTa
mummy papa ye batlao
unT ke munh mein zira kaisa
baDe bol ka sar kyon nicha
kyon kahte hain dal mein kala
mummy papa ye batlao
hal hone ki nahin hai aasha
ye sab hai ek khel-tamasha
sar na khapao mummy papa
kah gae apne bhayya pasha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.