in logon se KHwabon mein milna hi achchha rahta hai
thoḌī der ko saath rahe kisī dhuñdle shahr ke naqshe par
haath meñ haath diye ghūme kahīñ duur darāz ke raste par
be-parda asthānoñ par do uḌte hue gītoñ kī tarah
ġhusse meñ kabhī laḌte hue kabhī lipTe hue peḌoñ kī tarah
apnī apnī raah chale phir āḳhir shab ke maidāñ meñ
apne apne ghar ko jaate do hairāñ bachchoñ kī tarah
thoDi der ko sath rahe kisi dhundle shahr ke naqshe par
hath mein hath diye ghume kahin dur daraaz ke raste par
be-parda asthanon par do uDte hue giton ki tarah
ghusse mein kabhi laDte hue kabhi lipTe hue peDon ki tarah
apni apni rah chale phir aaKHir shab ke maidan mein
apne apne ghar ko jate do hairan bachchon ki tarah
- Book : chhe rangi darwaze (Pg. 26)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.