munjamid aankhen
khulī āñkhoñ ko koī band kar do
khulī āñkhoñ kī vīrānī se haul aatā hai
koī in khulī āñkhoñ ko baḌh kar band kar do
ye āñkheñ ik anokhī yaḳh-zada duniyā kī
sākit raushnī meñ kho ga.ī haiñ
ab in āñkhoñ meñ
koī rañg paidā hai na koī rañg pinhāñ hai
na koī aks-e-gul-ban hai
na koī dāġh-e-hirmāñ hai
na ganj-e-shā.egāñ kī ārzu-e-be-nihāyat hai
na ranj-e-rā.egāñ kā aks-e-larzāñ hai
agar kuchh hai to bas
ik yaḳh-zada nayā kā naqsh-e-jāvedāñ hai
ye āñkheñ
ab shuā-e-ārzū kī har kiran se yuuñ gurezāñ haiñ
ki patthar ban ga.ī haiñ
ye āñkheñ mar ga.ī haiñ
khuli aankhon ko koi band kar do
khuli aankhon ki virani se haul aata hai
koi in khuli aankhon ko baDh kar band kar do
ye aankhen ek anokhi yaKH-zada duniya ki
sakit raushni mein kho gai hain
ab in aankhon mein
koi rang paida hai na koi rang pinhan hai
na koi aks-e-gul-ban hai
na koi dagh-e-hirman hai
na ganj-e-shaegan ki aarzu-e-be-nihayat hai
na ranj-e-raegan ka aks-e-larzan hai
agar kuchh hai to bas
ek yaKH-zada naya ka naqsh-e-jawedan hai
ye aankhen
ab shua-e-arzu ki har kiran se yun gurezan hain
ki patthar ban gai hain
ye aankhen mar gai hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.