munkir ka KHauf
purānā pāsbāñ zill-e-ilāhī kā
jise chāhe kare mansab atā ālam-panāhī kā
use tarkīb aatī hai
kisī mazmūn-kohna ko nayā unvān dene kī
vo dīda-var hamesha se muayyan hai
hamāre rāste ke past-o-bālā par
vo daanā apne mansūbe banātā hai
hamārī fitratoñ kī ḳhaak zulmat se
hamārī ḳhvāhish-e-takrār kī derīna aadat se
vo ma.abad-e-sāz but-gar apnī hastī ke taqaddus meñ
sadā mahfūz rakhtā hai
hamāre ghar ko tahqīqī tajassus kī balāoñ se
kahīñ auhām kī umda shabīhoñ meñ
saqāfat ke nigāristāñ sajātā hai
kahīñ ḳhush-fahmiyoñ ke isti.āre se
hare lafzoñ ke bāġhīche khilātā hai
kahīñ nok-e-sināñ ke ism o afsūñ se
lahū kī buuñd meñ taslīm kī kirneñ jagātā hai
qulūb ahl-e-zamīñ ke us kī muTThī meñ dhaḌakte haiñ
shu.ūr us kā sadā māmūr rahtā hai
hameñ achchhe bure ke falsafe kī aaḌ meñ
ham se chhupāne par
magar is kā mudāvā kyā
ki vo parvardigār-e-zor-e-hikmat apnī nīndoñ meñ
hamesha se
vajūd-e-fard meñ ik muztarib sī shai se Dartā hai
vo shai jis kī haqīqat
vaqt kā iblīs us par faash kartā hai
purana pasban zill-e-ilahi ka
jise chahe kare mansab ata aalam-panahi ka
use tarkib aati hai
kisi mazmun-kohna ko naya unwan dene ki
wo dida-war hamesha se muayyan hai
hamare raste ke past-o-baala par
wo dana apne mansube banata hai
hamari fitraton ki KHak zulmat se
hamari KHwahish-e-takrar ki derina aadat se
wo mabad-e-saz but-gar apni hasti ke taqaddus mein
sada mahfuz rakhta hai
hamare ghar ko tahqiqi tajassus ki balaon se
kahin auham ki umda shabihon mein
saqafat ke nigaristan sajata hai
kahin KHush-fahmiyon ke istiare se
hare lafzon ke baghiche khilata hai
kahin nok-e-sinan ke ism o afsun se
lahu ki bund mein taslim ki kirnen jagata hai
qulub ahl-e-zamin ke us ki muTThi mein dhaDakte hain
shuur us ka sada mamur rahta hai
hamein achchhe bure ke falsafe ki aaD mein
hum se chhupane par
magar is ka mudawa kya
ki wo parwardigar-e-zor-e-hikmat apni nindon mein
hamesha se
wajud-e-fard mein ek muztarib si shai se Darta hai
wo shai jis ki haqiqat
waqt ka iblis us par fash karta hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 306)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.