munnī ne pahnā
resham kā joḌā
berī kā jhūlā
banā hai ghoḌā
chābuk na khaa.ī
muñh bhī na moḌā
dauḌā havā meñ
har shai ko chhoḌā
rassī ko lekin
us ne na toḌā
berī kā jhūlā
munnī kā ghoḌā
munnī kī chunarī
ghoḌe kī dum hai
ghoḌā hai aisā
paañv na sum hai
munnī jo kah de
nazroñ se gum hai
munni ne pahna
resham ka joDa
beri ka jhula
bana hai ghoDa
chabuk na khai
munh bhi na moDa
dauDa hawa mein
har shai ko chhoDa
rassi ko lekin
us ne na toDa
beri ka jhula
munni ka ghoDa
munni ki chunari
ghoDe ki dum hai
ghoDa hai aisa
panw na sum hai
munni jo kah de
nazron se gum hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.