munni ki bakri
munnī kī bakrī khoī kahīñ hai khoī kahīñ hai
khoī kahīñ hai
is dukh meñ munnī soī nahīñ hai soī nahīñ hai
soī nahīñ hai
karte haiñ meñ meñ bakrī ke bachche bakrī ke bachche
bakrī ke bachche
kal shaam se haiñ bechāre bhūke bechāre bhūke
bechāre bhūke
munnī kā bhaa.ī jañgal meñ pahuñchā jañgal meñ pahuñchā
jañgal meñ pahuñchā
har samt phir kar bakrī ko dekhā bakrī ko dekhā
bakrī ko dekhā
nadī kināre bakrī ko paayā bakrī ko paayā
bakrī ko paayā
us ko pakaḌ kar saath apne laayā saath apne laayā
saath apne laayā
bakrī huī ḳhush ghar apne aa kar ghar apne aa kar
ghar apne aa kar
munnī huī ḳhush bakrī ko pā kar bakrī ko pā kar
bakrī ko pā kar
bachche thanoñ se chimTe hue haiñ chimTe hue haiñ
chimTe hue haiñ
thoḌī jagah meñ simTe hue haiñ simTe hue haiñ
simTe hue haiñ
dekho to kaisī sīdhī hai bakrī sīdhī hai bakrī
sīdhī hai bakrī
sīdhī hai bakrī pyārī hai bakrī pyārī hai bakrī
pyārī hai bakrī
munni ki bakri khoi kahin hai khoi kahin hai
khoi kahin hai
is dukh mein munni soi nahin hai soi nahin hai
soi nahin hai
karte hain mein mein bakri ke bachche bakri ke bachche
bakri ke bachche
kal sham se hain bechaare bhuke bechaare bhuke
bechaare bhuke
munni ka bhai jangal mein pahuncha jangal mein pahuncha
jangal mein pahuncha
har samt phir kar bakri ko dekha bakri ko dekha
bakri ko dekha
nadi kinare bakri ko paya bakri ko paya
bakri ko paya
us ko pakaD kar sath apne laya sath apne laya
sath apne laya
bakri hui KHush ghar apne aa kar ghar apne aa kar
ghar apne aa kar
munni hui KHush bakri ko pa kar bakri ko pa kar
bakri ko pa kar
bachche thanon se chimTe hue hain chimTe hue hain
chimTe hue hain
thoDi jagah mein simTe hue hain simTe hue hain
simTe hue hain
dekho to kaisi sidhi hai bakri sidhi hai bakri
sidhi hai bakri
sidhi hai bakri pyari hai bakri pyari hai bakri
pyari hai bakri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.