tashannuj
aaj kis aalam meñ haiñ ahbāb mere
aañkh meñ tāb-o-tab o nam kuchh nahīñ
dil kisī refrigerator meñ rakhe hoñge kahīñ
jism hāzir haiñ yahāñ ġhā.eb dimāġh
muskurāhaT: ik lipstick ḳhanda-peshānī naqāb
ruuh: burqā-posh: āñkheñ be-hijāb!
kis liye mujh ko pareshāñ kar rahe haiñ ḳhvāb mere
niiñd ke zaḳhmī kaf-e-pā se Tapaktā hai ḳhud apnā hī lahū
ḳhvāb meñ phūloñ se aatī hai ḳhud apne ḳhuuñ kī bū
be-amal huuñ (ḳhvāb meñ huuñ) phir bhī jaarī (ek benām-o-nishāñ sii) justujū
darmiyāñ se is zamīñ ko chīrtā jaatā hai chāk-e-irtiqā
maut aa kar khaTkhaTātī rahtī hai dar aañkh kā
kis liye khiñchte chale jaate haiñ ye a.asāb mere
ahd-e-nau ke kis muġhannī kā junūñ
tārsaptak maiñ unheñ kartā huuñ tune
kaun in tāroñ ko itnā kas rahā hai
TuuT jā.eñge to is naġhme se bhī mahrūm ho jā.egā saaz
jis meñ shāmil hai shikast-e-zāt kī āvāz
aaj kis aalam mein hain ahbab mere
aankh mein tab-o-tab o nam kuchh nahin
dil kisi refrigerator mein rakhe honge kahin
jism hazir hain yahan ghaeb dimagh
muskurahaT: ek lipstick KHanda-peshani naqab
ruh: burqa-posh: aankhen be-hijab!
kis liye mujh ko pareshan kar rahe hain KHwab mere
nind ke zaKHmi kaf-e-pa se Tapakta hai KHud apna hi lahu
KHwab mein phulon se aati hai KHud apne KHun ki bu
be-amal hun (KHwab mein hun) phir bhi jari (ek benam-o-nishan si) justuju
darmiyan se is zamin ko chirta jata hai chaak-e-irtiqa
maut aa kar khaTkhaTati rahti hai dar aankh ka
kis liye khinchte chale jate hain ye aasab mere
ahd-e-nau ke kis mughanni ka junun
tarsaptak main unhen karta hun tune
kaun in taron ko itna kas raha hai
TuT jaenge to is naghme se bhi mahrum ho jaega saz
jis mein shamil hai shikast-e-zat ki aawaz
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 409)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.