muntaKHab-e-rozgar abulkalam-azad
qadam qadam pe aqīdat se sar hai ḳham merā
chalā hai sū-e-rah-e-mo'atabar qalam merā
dil-o-dimāġh ko ūñchā banā diyā jis ne
fuyūz-e-ilm se a.alā banā yā jis ne
baḌe ḳhulūs se detā thā dars-e-insānī
hue haiñ jis kī badaulat zamīr nūrānī
vo jis ne rāh-e-mohabbat dikhā.ī thī ham ko
vo jis ne rasm-e-uḳhuvvat sikhā.ī thī ham ko
vo jis ne bartar-o-bālā ḳhayāl baḳhshā thā
jo lā-zavāl hai aisā kamāl baḳhshā thā
vo ek fikr jo bā-e'tibār kartī hai
nazar meñ kābil-sad-iftiḳhār kartī hai
vo jis ne ziist sajā.ī jalā.e dil ke charāġh
usī ke soz ne baḳhshī hameñ matā-e-dimāġh
usī ne tarz-e-takallum kī chāshnī dī hai
usī ne ilm kī ḳhush-rañg zindagī dī hai
usī ne harf-e-hidāyat se sarfarāz kiyā
ḳhudā kā shukr hameñ āshnā-e-rāz kiyā
guloñ se pyaar anādil se us kā yārāna
sukūn-o-amn kā markaz thā us kā kāshāna
matā-e-ilm luTātī rahī hai zaat us kī
bahut darāz thī zulf-e-navāzishāt us kī
ruḳh-e-hayāt ko baḳhshī hai ik jilā us ne
shu.ūr zauq-e-nazar kā atā kiyā us ne
sukūn dil ko mayassar thā us kī qurbat se
ham ahl-e-hind kī azmat hai us kī nisbat se
ufuq pe ubhrā jo vo al-hilāl kī sūrat
javān ho ke rahī al-balāġh kī fitrat
haiñ tazkire meñ kuchh aise nuqūsh-e-fikr-e-jamīl
ġhubar-e-ḳhātir-o-ḳhutabāt kī sajeñ qindīl
jo tarjumān se phailī kalām kī ḳhushbū
sañvāre us ne hī pechīda aql ke gesū
usī ne sāz-e-adab ko sadā-e-nau baḳhshī
shikasta-dil ko anokhī adā-e-nau baḳhshī
dayār-e-gul meñ vo aayā thā muskurātā huā
har ek ḳhār-e-chaman ko gale lagātā huā
guloñ kā rañg sabā kā shi.ār laayā thā
vo ik bahār thā husn-e-bahār laayā thā
na us bahār se ab tak bharā thā dil apnā
ki chand lamhoñ ko us se lagā thā dil apnā
qazā-e-husn chaman ko chaman se chhīn liyā
shabāb jaise navelī dulhan se chhīn liyā
bahār hai na vajūd-e-bahār baaqī hai
diloñ meñ yād-e-numūd-e-bahār baaqī hai
buzurg-o-muḳhlish-o-ālī-vaqār thā vo shaḳhs
ki ek muntaḳhab-e-rozgār thā vo shaḳhs
qadam qadam pe aqidat se sar hai KHam mera
chala hai su-e-rah-e-mo'atabar qalam mera
dil-o-dimagh ko uncha bana diya jis ne
fuyuz-e-ilm se aala bana ya jis ne
baDe KHulus se deta tha dars-e-insani
hue hain jis ki badaulat zamir nurani
wo jis ne rah-e-mohabbat dikhai thi hum ko
wo jis ne rasm-e-uKHuwwat sikhai thi hum ko
wo jis ne bartar-o-baala KHayal baKHsha tha
jo la-zawal hai aisa kamal baKHsha tha
wo ek fikr jo ba-e'tibar karti hai
nazar mein kabil-sad-iftiKHar karti hai
wo jis ne zist sajai jalae dil ke charagh
usi ke soz ne baKHshi hamein mata-e-dimagh
usi ne tarz-e-takallum ki chashni di hai
usi ne ilm ki KHush-rang zindagi di hai
usi ne harf-e-hidayat se sarfaraaz kiya
KHuda ka shukr hamein aashna-e-raaz kiya
gulon se pyar anadil se us ka yarana
sukun-o-amn ka markaz tha us ka kashana
mata-e-ilm luTati rahi hai zat us ki
bahut daraaz thi zulf-e-nawazishat us ki
ruKH-e-hayat ko baKHshi hai ek jila us ne
shuur zauq-e-nazar ka ata kiya us ne
sukun dil ko mayassar tha us ki qurbat se
hum ahl-e-hind ki azmat hai us ki nisbat se
ufuq pe ubhra jo wo al-hilal ki surat
jawan ho ke rahi al-balagh ki fitrat
hain tazkire mein kuchh aise nuqush-e-fikr-e-jamil
ghubar-e-KHatir-o-KHutabaat ki sajen qindil
jo tarjuman se phaili kalam ki KHushbu
sanware us ne hi pechida aql ke gesu
usi ne saz-e-adab ko sada-e-nau baKHshi
shikasta-dil ko anokhi ada-e-nau baKHshi
dayar-e-gul mein wo aaya tha muskuraata hua
har ek KHar-e-chaman ko gale lagata hua
gulon ka rang saba ka shiar laya tha
wo ek bahaar tha husn-e-bahaar laya tha
na us bahaar se ab tak bhara tha dil apna
ki chand lamhon ko us se laga tha dil apna
qaza-e-husn chaman ko chaman se chhin liya
shabab jaise naweli dulhan se chhin liya
bahaar hai na wajud-e-bahaar baqi hai
dilon mein yaad-e-numud-e-bahaar baqi hai
buzurg-o-muKHlish-o-ali-waqar tha wo shaKHs
ki ek muntaKHab-e-rozgar tha wo shaKHs
- Book : Shahre be Chiragh Mein (Pg. 115)
- Author : Saeed Arifi
- Publication : Pahchan Publications (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.