muntazim
hamāre jaise ajiib logoñ kī ranjishoñ kā
malāl kis ko
zamīn kartī hai bain
aañsū falak bahātā hai chupke chupke
fazā meñ siskī sī tairtī hai
haiñ sar-ba-zānūñ tamām manzar
kahīñ chhinī hai kisī kī guḌiyā
kahīñ phaTī haiñ na.ī kitābeñ
kisī kī shah-rag pe koī jhapTā
kisī kī galiyoñ meñ ḳhuun bikhrā
sunā hai ham ne
ki is shujā.at pe tamġha milegā us ko
baḌī nafāsat se us ne chhāñTe haiñ apne revaḌ
maveshī saare baTe hue haiñ
ye rañg o zaat o nasl un ke bane tavīle
sab apnī ḳhushiyoñ ġhamoñ ko bāñTeñge apnī had meñ
ki bheḌ bakrī se mil na paa.e
na gaa.e bheñsoñ meñ hoñ kuleleñ
sunā hai us ke nizām-e-mulkī pe sab haiñ nāzāñ
use hī baḳhsheñge phir se vo mansab-e-hazārī
hamāre jaise ajiib logoñ kī āñkhoñ meñ
kyuuñ hai itnā paanī
hamare jaise ajib logon ki ranjishon ka
malal kis ko
zamin karti hai bain
aansu falak bahata hai chupke chupke
faza mein siski si tairti hai
hain sar-ba-zanun tamam manzar
kahin chhini hai kisi ki guDiya
kahin phaTi hain nai kitaben
kisi ki shah-rag pe koi jhapTa
kisi ki galiyon mein KHun bikhra
suna hai hum ne
ki is shujaat pe tamgha milega us ko
baDi nafasat se us ne chhanTe hain apne rewaD
maweshi sare baTe hue hain
ye rang o zat o nasl un ke bane tawile
sab apni KHushiyon ghamon ko banTenge apni had mein
ki bheD bakri se mil na pae
na gae bhenson mein hon kulelen
suna hai us ke nizam-e-mulki pe sab hain nazan
use hi baKHshenge phir se wo mansab-e-hazari
hamare jaise ajib logon ki aankhon mein
kyun hai itna pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.