murajat
shaam ho
aam sī shaam ho
jis kī had-bandiyoñ meñ qafas bhī hoñ aur āshiyāñ bhī
havāoñ kī aahaT pe khulte darīche bhī hoñ
ā.īnoñ meñ ghire nanhe munne parindoñ kā raqs-e-dam-e-vāpsīñ
har nafas par-ba-par yūrish-e-rā.egāñ bhī
aam sī shaam ho
lekin is shaam ke rāste mere ghar jā rukeñ
ghar kī dahlīz par
merī maañ
muskurāte hue mere giryāñ dinoñ kī thakan chuum le
shaam kī sarhadoñ se muazzin pukāre to
sab bhaa.ī bahnoñ kī chup meñ mirī chup bhī ho
shaam kī sej par baap ke jism se mere baazū ugeñ
jab muñDeroñ pe rakkhe diye jagmagāne lageñ
TūTte farsh par merā bhī aks ho
merā bhī naam ho
aam sī shaam ho
shaam sī shaam ho
sham ho
aam si sham ho
jis ki had-bandiyon mein qafas bhi hon aur aashiyan bhi
hawaon ki aahaT pe khulte dariche bhi hon
aainon mein ghire nanhe munne parindon ka raqs-e-dam-e-wapsin
har nafas par-ba-par yurish-e-raegan bhi
aam si sham ho
lekin is sham ke raste mere ghar ja ruken
ghar ki dahliz par
meri man
muskuraate hue mere giryan dinon ki thakan chum le
sham ki sarhadon se muazzin pukare to
sab bhai bahnon ki chup mein meri chup bhi ho
sham ki sej par bap ke jism se mere bazu ugen
jab munDeron pe rakkhe diye jagmagane lagen
TuTte farsh par mera bhi aks ho
mera bhi nam ho
aam si sham ho
sham si sham ho
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 489)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.