murajat
vo chakā-chauñd vo shahr ke jalve
vo tamāshe vo kartab ujāloñ ke
ho rahe mahv ham bas-ki saa.e the
har taraf sho.abde be-karāñ se the
mubtalā jin meñ ham jism-o-jāñ se the
na rahā yaad aa.e kahāñ se the
nazar ik den thī ḳhud nazāroñ kī
zaat apnī ibārat unhīñ se thī
rehn-e-dariyā thī girdāb kī hastī
uns ke rābtoñ ke amiiñ the ham
ik fazā thī jahāñ har kahīñ the ham
rābtoñ ke sivā kuchh nahīñ the ham
khel thā ik charāġh-e-tamannā kā
jis kī lau se thī sab raushnī barpā
vaqt kā tel nazroñ se ojhal thā
ye guzishta bahāroñ ke gul-būTe
chaman-e-ārzū ke jigar-goshe
hameñ ghere khaḌe rāste roke
liye āñkhoñ meñ rañj-o-mehan apne
kiye jā.eñge kab tak jatan apne
hameñ jaane bhī deñ ab vatan apne
wo chaka-chaund wo shahr ke jalwe
wo tamashe wo kartab ujalon ke
ho rahe mahw hum bas-ki sae the
har taraf shoabde be-karan se the
mubtala jin mein hum jism-o-jaan se the
na raha yaad aae kahan se the
nazar ek den thi KHud nazaron ki
zat apni ibarat unhin se thi
rehn-e-dariya thi girdab ki hasti
uns ke rabton ke amin the hum
ek faza thi jahan har kahin the hum
rabton ke siwa kuchh nahin the hum
khel tha ek charagh-e-tamanna ka
jis ki lau se thi sab raushni barpa
waqt ka tel nazron se ojhal tha
ye guzishta bahaaron ke gul-buTe
chaman-e-arzu ke jigar-goshe
hamein ghere khaDe raste roke
liye aankhon mein ranj-o-mehan apne
kiye jaenge kab tak jatan apne
hamein jaane bhi den ab watan apne
- Book : siip (Magzin) (Pg. 159)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.