murda-KHana
duniyā kī īlā-billā Thasī paḌī hai mujh meñ
haañ kuchh kaam kī chīzeñ bhī haiñ is kabāḌ-ḳhāne meñ
ilhāmī kitāboñ se le kar falsafa-e-adab aur shā.irī tak kī
libraryāñ bharī paḌī haiñ dimāġh meñ
āñkhoñ meñ utar kar dekheñ to husn-e-do-ālam pā.eñge jalva-afroz
puure puure nigār-ḳhāne mere bhī sanam-ḳhāne tere bhī sanam-ḳhāne
kānoñ meñ baiThuoñ se le kar kop-land kī samfaniyāñ
aur tansen kī bandishoñ se raushan-ārā begam kī gā.ikī tak mahfūz hai aaj bhī
lekin gañd to machā rakkhā hai mere jism ne
aur is ke andar dhaḌakte dil ne
gandagī kā Dipo hai merā ye jism
balki kārḳhāna hai gandagī kā
achchhī se achchhī chiiz Dāleñ aap is meñ
bol-o-barāz banā kar rakh detā hai use
Daal kar dekheñ haañ haañ ye phal Dāleñ ye miThā.ī
ye tikke aur kabāb Dāleñ is meñ
aur phir naak par rūmāl rakh kar dekheñ ki bantā kyā hai in kā
ḳhair jahāñ kār-ḳhāne huuñ vahāñ gandagī to hotī hai lāziman
gandagī na ho to ālūdgī sahī
īd-e-qurbān par shahr kā chakkar to lagyā hī hogā aap ne
azīz-o-aqārib se milne ke liye
jo kuchh saḌkoñ aur galiyoñ meñ nazar aatā hai ojhaḌiyoñ aur āñtoñ se ubaltā huā
vahī kuchh hai mere andar bhī
ye to merī khaal kā kamāl hai jo aap ne paas biThā rakkhā hai mujhe
aur agar aap meñ jhāñkne kī himmat ho mere dil meñ
to shāyad abhī uThā deñ apne paas se mujhe
karda gunāhoñ kī nahīñ nā-karda gunāhoñ kī baat kar rahā huuñ maiñ
ḳhvāhishoñ aur hasratoñ ke janāze paḌe haiñ
mere dil meñ qatār-andar-qatār
maiñ ne tashbīh dī thī kabāḌ-ḳhāne se apne aap ko
asal meñ to ek bahut baḌā murda-ḳhāna huuñ maiñ
fasādāt meñ qatl-e-ām dekhā ho shāyad aap ne
zalzale meñ maare jaane vāloñ kī lāsheñ nikālte to dekhā hogā logoñ ko
yā phir television par bosina aur kosvo meñ ijtimā.ī qabroñ kī khudā.ī ke manāzir
jab lavāhiqīn koshish kar rahe hote haiñ lāshoñ ko pahchānñe kī
aur naak phaT rahe hote haiñ un ke saḌāñd se
jald-az-jald dobāra dafnā dī jaatī haiñ ye lāsheñ
lekin mere dil meñ ḳhvāhishoñ aur hasratoñ kī lāsheñ gal-saḌ ga.ī haiñ paḌe paḌe
aur maiñ phir bhī dafan nahīñ kartā unheñ
dafn karnā chāhtā hī nahīñ
aur chāhūñ bhī to kahāñ karūñ dafn unheñ
dimāġh meñ
dimāġh meñ kulbulātā hāfiza kahāñ mohlat detā hai us kī
dil hī to hai jis meñ dafnā saktā huuñ unheñ
inhī murda ḳhvāhishoñ aur hasratoñ ko dekh dekh kar to jiitā huuñ maiñ
ye to dafan hoñgī mere saath hī
aur ab samajh meñ aatā hai ki kyuuñ banā.ī jaatī haiñ baḌī baḌī qabreñ
bādshāh log to marne se pahle hī banvā liyā karte the apne maqbare aur ehrām
mujhe ghin aatī thī baḌī baḌī qabroñ se
maiñ kahā kartā thā dekho un māl-zādoñ ko
zindagī meñ bhī ghere rakhte the zarūrat se ziyāda zamīn
aur mar kar bhī itnī jagah gher lete haiñ ki ḳhudā kī zinda maḳhlūq ko mayassar nahīñ sar chhupāne ko
mar kar bhī nahīñ miTtī zamīn kī hirs un kī
magar ab sochtā huuñ shāyad unheñ vāqa.ī zarūrat ho baḌī qabroñ kī
shāyad un ke andar paḌe huuñ mujh se bhī ziyāda janāze
ḳhvāhishoñ aur hasratoñ ke
shāyad un kī ojhaḌiyoñ aur āñtoñ meñ ġhalāzat ho mujh se bhī ziyāda
vaise kahīñ maiñ bhī to javāz nahīñ DhūñDh rahā apne liye kushāda qabr kā
duniya ki ila-billa Thasi paDi hai mujh mein
han kuchh kaam ki chizen bhi hain is kabaD-KHane mein
ilhami kitabon se le kar falsafa-e-adab aur shairi tak ki
libraryan bhari paDi hain dimagh mein
aankhon mein utar kar dekhen to husn-e-do-alam paenge jalwa-afroz
pure pure nigar-KHane mere bhi sanam-KHane tere bhi sanam-KHane
kanon mein baiThuon se le kar kop-land ki samfaniyan
aur tansen ki bandishon se raushan-ara begam ki gaiki tak mahfuz hai aaj bhi
lekin gand to macha rakkha hai mere jism ne
aur is ke andar dhaDakte dil ne
gandagi ka Dipo hai mera ye jism
balki karKHana hai gandagi ka
achchhi se achchhi chiz Dalen aap is mein
bol-o-baraaz bana kar rakh deta hai use
Dal kar dekhen han han ye phal Dalen ye miThai
ye tikke aur kabab Dalen is mein
aur phir nak par rumal rakh kar dekhen ki banta kya hai in ka
KHair jahan kar-KHane hun wahan gandagi to hoti hai laziman
gandagi na ho to aaludgi sahi
id-e-qurban par shahr ka chakkar to lagya hi hoga aap ne
aziz-o-aqarib se milne ke liye
jo kuchh saDkon aur galiyon mein nazar aata hai ojhaDiyon aur aanton se ubalta hua
wahi kuchh hai mere andar bhi
ye to meri khaal ka kamal hai jo aap ne pas biTha rakkha hai mujhe
aur agar aap mein jhankne ki himmat ho mere dil mein
to shayad abhi uTha den apne pas se mujhe
karda gunahon ki nahin na-karda gunahon ki baat kar raha hun main
KHwahishon aur hasraton ke janaze paDe hain
mere dil mein qatar-andar-qatar
main ne tashbih di thi kabaD-KHane se apne aap ko
asal mein to ek bahut baDa murda-KHana hun main
fasadat mein qatl-e-am dekha ho shayad aap ne
zalzale mein mare jaane walon ki lashen nikalte to dekha hoga logon ko
ya phir telewision par bosina aur koswo mein ijtimai qabron ki khudai ke manazir
jab lawahiqin koshish kar rahe hote hain lashon ko pahchanne ki
aur nak phaT rahe hote hain un ke saDand se
jald-az-jald dobara dafna di jati hain ye lashen
lekin mere dil mein KHwahishon aur hasraton ki lashen gal-saD gai hain paDe paDe
aur main phir bhi dafan nahin karta unhen
dafn karna chahta hi nahin
aur chahun bhi to kahan karun dafn unhen
dimagh mein
dimagh mein kulbulata hafiza kahan mohlat deta hai us ki
dil hi to hai jis mein dafna sakta hun unhen
inhi murda KHwahishon aur hasraton ko dekh dekh kar to jita hun main
ye to dafan hongi mere sath hi
aur ab samajh mein aata hai ki kyun banai jati hain baDi baDi qabren
baadshah log to marne se pahle hi banwa liya karte the apne maqbare aur ehram
mujhe ghin aati thi baDi baDi qabron se
main kaha karta tha dekho un mal-zadon ko
zindagi mein bhi ghere rakhte the zarurat se ziyaada zamin
aur mar kar bhi itni jagah gher lete hain ki KHuda ki zinda maKHluq ko mayassar nahin sar chhupane ko
mar kar bhi nahin miTti zamin ki hirs un ki
magar ab sochta hun shayad unhen waqai zarurat ho baDi qabron ki
shayad un ke andar paDe hun mujh se bhi ziyaada janaze
KHwahishon aur hasraton ke
shayad un ki ojhaDiyon aur aanton mein ghalazat ho mujh se bhi ziyaada
waise kahin main bhi to jawaz nahin DhunDh raha apne liye kushada qabr ka
- Book : din kaa phool (Pg. 110)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.