murgh-e-marhum
ai mire murġhe mire sarmāya-e-taskīn-e-jāñ
terī furqat meñ hai be-raunaq mirā saarā makāñ
kaun degā raat ke bārah baje uTh kar azaañ
terī furqat meñ ye dil taḌpā jigar ne aah kī
khā ga.ī tujh ko nazar shāyad kisī bad-ḳhvāh kī
tujh ko laayā thā karachi se ki pālūñgā tujhe
mashriqī ādāb ke sāñche meñ Dhālūñgā tujhe
muft-ḳhoroñ kī nigāhoñ se bachā lūñgā tujhe
tujh pe lekin maut ke dil-doz saa.e chhā ga.e
hasrat un ġhunchoñ pe hai jo bin khile murjhā ga.e
tere ġhamze zindagānī bhar na bhūleñge mujhe
phuul sī kalġhī mulā.em par na bhūleñge mujhe
tere andāz-e-hasīñ yaksar na bhūleñge mujhe
chhoḌ kar mujh ko tū dast-e-dāvar-e-mahshar meñ hai
terā Darba tujh se behtar hai ki mere ghar meñ hai
maiñ vabā-e-ām se tujh ko bachātā rah gayā
tujh ko kitne qīmtī sharbat pilātā rah gayā
tujh ko rānī-khet ke Tiike lagātā rah gayā
mere injection tujhe lutf-e-fanā dene lage
jin pe takiya thā vahī patte havā dene lage
terī sūrat jab bhī yaad aa.ī jigar taḌpā ga.ī
terī furqat meñ mire paañv meñ kal moch aa ga.ī
ḳhāmushī sī merī duniyā-e-nazar meñ chhā ga.ī
kar ke bahr-e-ġham meñ merī kashtī-e-dil pāsh-pāsh
bāzī-e-goī ki dāman tar makun hushiyār baash
dāstān-e-murġh ik dard-e-nihāñ sābit huī
ye pareshānī nashāt-e-dushmanāñ sābit huī
dostoñ kī har tasallī rā.egāñ sābit huī
dost ġham-ḳhvārī meñ merī sa.ī farmā.eñge kyā
ek ik murġhā uThā kar ghar se le ā.eñge kyā
ai mire murġhe tumhāre tazkire hoñge yahāñ
maiñ banā dūñgā tumhārī har adā ko jāvedāñ
ho mubārak tum ko murġhe gosha-e-murġh-e-jināñ
maiñ tumhārī yaad se qalb-e-hazīñ bahlā.ūñgā
ghar ke aage maiñ tumhārā maqbara banvā.uñgā
ai mere murghe mere sarmaya-e-taskin-e-jaan
teri furqat mein hai be-raunaq mera sara makan
kaun dega raat ke barah baje uTh kar azan
teri furqat mein ye dil taDpa jigar ne aah ki
kha gai tujh ko nazar shayad kisi bad-KHwah ki
tujh ko laya tha karachi se ki palunga tujhe
mashriqi aadab ke sanche mein Dhaalunga tujhe
muft-KHoron ki nigahon se bacha lunga tujhe
tujh pe lekin maut ke dil-doz sae chha gae
hasrat un ghunchon pe hai jo bin khile murjha gae
tere ghamze zindagani bhar na bhulenge mujhe
phul si kalghi mulaem par na bhulenge mujhe
tere andaz-e-hasin yaksar na bhulenge mujhe
chhoD kar mujh ko tu dast-e-dawar-e-mahshar mein hai
tera Darba tujh se behtar hai ki mere ghar mein hai
main waba-e-am se tujh ko bachata rah gaya
tujh ko kitne qimti sharbat pilata rah gaya
tujh ko rani-khet ke Tike lagata rah gaya
mere injection tujhe lutf-e-fana dene lage
jin pe takiya tha wahi patte hawa dene lage
teri surat jab bhi yaad aai jigar taDpa gai
teri furqat mein mere panw mein kal moch aa gai
KHamushi si meri duniya-e-nazar mein chha gai
kar ke bahr-e-gham mein meri kashti-e-dil pash-pash
bazi-e-goi ki daman tar makun hushiyar bash
dastan-e-murgh ek dard-e-nihan sabit hui
ye pareshani nashat-e-dushmanan sabit hui
doston ki har tasalli raegan sabit hui
dost gham-KHwari mein meri sai farmaenge kya
ek ek murgha uTha kar ghar se le aaenge kya
ai mere murghe tumhaare tazkire honge yahan
main bana dunga tumhaari har ada ko jawedan
ho mubarak tum ko murghe gosha-e-murgh-e-jinan
main tumhaari yaad se qalb-e-hazin bahlaunga
ghar ke aage main tumhaara maqbara banwaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.