murgha murghi
murġhā murġhī pyaar se dekheñ
nanhā chūza khel kare
maiñ kis ko bolūñ jo mere
mātā-pitā kā mel kare
chiḌiyā aur chiḌā mil-jul kar
daanā dunkā laa.e
apne chhoTe se bachche ko
khol ke choñch khilā.e
maiñ jab apne bhaag ko sochūñ
aañkh meñ aañsū aa.e
murġhā murġhī pyaar se dekheñ
saath ke ghar kā nanhā bachcha mātā-pitā sang khele
merā bachpan mātā-pitā kī duurī kā dukh jhele
koī mujhe merā ghar de de mahle do mahle le le
murġhā murġhī pyaar se dekheñ
baḌoñ ke aage baat kareñ ye ham bachchoñ kā kaam nahīñ
jab tak un kā man na pighle apne liye ārām nahīñ
us ghar meñ kyā rahnā jis meñ siitā ke sañg raam nahīñ
murġhā murġhī pyaar se dekheñ
murgha murghi pyar se dekhen
nanha chuza khel kare
main kis ko bolun jo mere
mata-pita ka mel kare
chiDiya aur chiDa mil-jul kar
dana dunka lae
apne chhoTe se bachche ko
khol ke chonch khilae
main jab apne bhag ko sochun
aankh mein aansu aae
murgha murghi pyar se dekhen
sath ke ghar ka nanha bachcha mata-pita sang khele
mera bachpan mata-pita ki duri ka dukh jhele
koi mujhe mera ghar de de mahle do mahle le le
murgha murghi pyar se dekhen
baDon ke aage baat karen ye hum bachchon ka kaam nahin
jab tak un ka man na pighle apne liye aaram nahin
us ghar mein kya rahna jis mein sita ke sang ram nahin
murgha murghi pyar se dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.